Abbas Agaye
(Abbas agaye) x4
Hai eski ragoo(n) mai khoun-e-ali, qamut bhi wahi taiwer bhi wahi
Kehtay hain esay saqa-e-harum, hai esko mila haider ka hashum
Darya sai hata lo lushker (Abbas agaye) x3
Bay taigh jari (darya ko chala) x2 hathou(n) mai utha ker (mashkiza) x2
Ek shor utha darya per
(Abbas agaye) x3
Dekhay(n)gay hawa mai urtay huway, talwar-o-tabar aur sur naizay
Butlata yehee hai munzer
(Abbas agaye) x3
Baba ki turha(n) say jaounga, darya ko utha layaounga
Jibreel bata do jaa ker
(Abbas agaye) x3
Aapus mai adoo kehtay hain yehee, sahil se hatu dekho tu sahee
Paigham ajul ka laiker
(Abbas agaye) x3
Yeh taigh aur khunjer kuch bhee nahi, nau lakh ka lushker kuch bhee nahi
Pyasoo(n) ka sipahee bun ker
(Abbas agaye) x3
Darya se so-e-khaema jo chala, sahil pay alum jub lehraya
Kehnay lagee shah ki dukhter
(Abbas agaye) x3
Mitt jayegi sub ki tashnalubee, takheer nahi hai ubb kuch bhee
Bechain hai zainub dur per
(Abbas agaye) x3
Jub charou(n) taraf say humlay huey, mushkiza chidaa bazoo bhee kutay
Kehti thi udher ek mozter
(Abbas agaye) x3
Shah laye jo run se mush-o-alum, thay meh-e-buka sub ahel-e-harum
Chounk uthee sakina roo ker
(Abbas agaye) x3
Kya khouf-e-fishar-e-qaber mujhay, pochay(n)gay farishtay kya mujh se
Gurr meri lehud mai "anser"
(Abbas agaye) x3