Baba Bara Andhera Hai audio file
Baba Bara Andhera Hai
(Ek diya koi jala dai sham kay zindan mai) x2
(Baba bara andhera hai) x2 (Ek diya koi jala dai sham kay zindan mai) x2
Khun aankhoun say Sakina her ghari bersaye gi
Aap ki furqut may baiti kis tarhaa gee payai gi
Yey dil dohai deta hai baba bara andhera hai
(Ek diya koi jala dai sham kay zindan may) x2
Dai rahi houn sham kay es qaid khanay may sada
Her ghari taza musibut her ghari taza jafa
Baydurd sari dunya hai baba bara andhera hai
(Ek diya koi jala dai sham kay zindan may) x2
Meray ronay per hain pehray aur matum per saza
Sham kay zindan may hai zindigi bay aasra
Her dum laboo pay nawha hai baba bara andhera hai
(Ek diya koi jala dai sham kay zindan may) x2
Qulb mai paiwast baba durd ki talwar hai
Zindigi nawha kuna hai maut matum dar hai
Mahaul qabr jaisa hai baba bara andhera hai
(Ek diya koi jala dai sham kay zindan may) x2
Bus yaihe hai jurm mera mai houn beti aap ki
Inn darindou say bachalo warna mai mer jaoungi
Ek khouf mujhko rehta hai baba bara andhera hai
(Ek diya koi jala dai sham kay zindan may) x2
Koi dai mujhko dilasay aap hain aur na chacha
Aisay jenay say tu behtur maut ka aana bhala
Ehsas ub yai hota hai baba bara andhera hai
(Ek diya koi jala dai sham kay zindan may) x2
Ghur may ja ker bhi nazur aingay supnay qaid kay
Upnay dammun may samaytay zukhm itnay qaid kay
Yey zukhm sub say gehra hai baba bara andhera hai
(Ek diya koi jala dai sham kay zindan may) x2
Haey es tunhaie say bhi baat kerna jurm hai
Hudd hoie kay roshni ka bhi guzrna jurm hai
Dekho ye situm kaisa hai baba bara andhera hai
(Ek diya koi jala dai sham kay zindan may) x2
Aansooun ki ulqama ub aankh say jari huie
Durd ki rodad likh ker roya "Anser Azmi"
Kaisa ajeeb misra hai baba bara andhera hai
(Ek diya koi jala dai sham kay zindan may) x2