Fatima Zehra
(Ja raha hai karwan) x4
Qaid ho kar ja raha hai bekaso(n) ka karwan
(Fatima zehra Fatima zehra) x2
Haey aal-e-mustafa par aaj kaisa waqt aya
(Kha rahey hain taziyane) x2 Hai kathin ye imtehan
(Fatima zehra Fatima zehra) x2
Sar shaheedo(n) ke sina per dekh ker aansoo bahaaye
(Noha karte ja rahey hain) x2 Ho gaye sub be amaa(n)
(Fatima zehra Fatima zehra) x2
Khaq aaluda hain chehre rotay hain shah-e-huda bhi
(Aag barsaate hain zalim) x2 Hum ye kertay hain fughaa
(Fatima zehra Fatima zehra) x2
Mar na jaye gham say Abid har ghari bas aik gham hai
(Ro raha hai tauq uska) x2 Ro rahi hain beriyaa(n)
(Fatima zehra Fatima zehra) x2
Aankh se wo khu(n) bahata ja raha hai har qadam per
(Ek rida ka hai sawali) x2 Meri khatir natawa
(Fatima zehra Fatima zehra) x2
Karte hain sadaat girya maut khud kerti hai matam
(Wa Hussaina ki sada hai) x2 Har ghari vird-e-zuuba(n)
(Fatima zehra Fatima zehra) x2
Koi in be warisoo ko rehem khaker dede chadar
(Khun rulati ja rahi hain) x2 bekason ki siskiyaa
(Fatima zehra Fatima zehra) x2
Ho bayan kesay riwayat aaj "Mazher abdi" say
(Ro para qirtas ghum say) x2 hai qalum noha kunaa
(Fatima zehra Fatima zehra) x2