Baad-e-Abbas
(Ya Abbas Ya Abbas) x2
(Baad-e-abbas ye kehtee rahi bint-e-zehra) x3
(Baad-e-abbas ye kehtee rahi bint-e-zehra) x2
Tum ko neend agayie darya kay kinaray bhai
Sham ki fauj meray khaymay jalanay aiee
(Loot ker lay gaye kufar) x2 Loot ker lay gaye kufar meray ser say rida
(Baad-e-abbas ye kehtee rahi bint-e-zehra) x2
Itna pyasa tera aaqa tha kay khunjer nay kaha
(Mujhko chulnay kay liye) x2 Mujhko chulnay kay liye chaye paani thora
(Baad-e-abbas ye kehtee rahi bint-e-zehra) x2
Dekh ub janib-e-zinda teri humsheer chali
(Mai chali sham khuda) x2 Mai chali sham khuda hafiz-o-nasir bhaya
(Baad-e-abbas ye kehtee rahi bint-e-zehra) x2
Itnee jultee hai zamee jultay hain bachou(n) kay qadum
(Doun sadaa kis ko mera) x2 Doun sadaa kis ko mera koi baqi na raha
(Baad-e-abbas ye kehtee rahi bint-e-zehra) x2
Samnay darya tha phir bhee rahay pyasay bachay
(Ubb meri ankhoon say) x2 Ubb meri ankhoon say behta hai lahoo ka darya
(Baad-e-abbas ye kehtee rahi bint-e-zehra) x2
Dekha jata nahi munzer ye magar dekhti hou(n)
(Kya karou hai jiger) x2 Phutnay laga hai mera
(Baad-e-abbas ye kehtee rahi bint-e-zehra) x2
Durray sajjad kay lugtay hain agar ruktaa hai
(Hum jo rotay hain tu beemar) x2 Hum jo rotay hain tu beemar pay hoti hai jafa
(Baad-e-abbas ye kehtee rahi bint-e-zehra) x2
Meray bazoo na rahay teri rida chinee gaiee
(Meri zainub tujhay Allah) x2 Meri zainub tujhay Allah o Ali ko soopa
(Baad-e-abbas ye kehtee rahi bint-e-zehra) x2