Hai Zindan Say
(Hai Zindan Say Ronay Ki Sadaa Aati Hai) x3
(Hai Zindan Say Ronay Ki Sadaa Aati Hai) x2
Apnay ashkou(n) say likha kerti hai baba baba
Maut ajaye laboou(n) per ye dua aati hai
(Hai Zindan Say Ronay Ki Sadaa Aati Hai) x2
Uski aankhoo say barastay hain lahoo kay badul
Yaad kunbay ki watun mai jo zara aati hai
(Hai Zindan Say Ronay Ki Sadaa Aati Hai) x2
Koun apna hai yaha(n) hai mai kaisay bolou(n)
Meri bachi ko tu zinda mai qaza aati hai
(Hai Zindan Say Ronay Ki Sadaa Aati Hai) x2
Koun baqi hai sadaa dai gi sakina kis ko
Sirf zanjeer ki kanou mai sadaa aati hai
(Hai Zindan Say Ronay Ki Sadaa Aati Hai) x2
Qaid mai wo bhee hai aur qaid mai hay torbut bhee
Rohh zehra ki diya roz jala aati hai
(Hai Zindan Say Ronay Ki Sadaa Aati Hai) x2
Aisay zindan mai jeenay ka tasswer bhee kaha(n)
Shimrr asakta hai awaz-e-buka aati hai
(Hai Zindan Say Ronay Ki Sadaa Aati Hai) x2
Qabr zinda mai bani oska janaza naa uttha
Maa watun mai liye soghat-e-jafa aati hai
(Hai Zindan Say Ronay Ki Sadaa Aati Hai) x2
Itnaa hi kafi hai insaa ko ronay kay liye
Maa sakina ki sar-e-farsh-e-aza aati hai