Haaye
Abbas (AS) utho audio file
(Haye Abbas(a.s.)
Utho) x3
(Bai-rida shaam
chali hou(n) bhaiya haye Abbas utho) x2
Aa kay bun jao
bahan ka parda (haye Abbas utho) x3
(Bai-rida shaam
chali hou(n) bhaiya haye Abbas utho) x2
1. Tum hi zamin thay meri chader kay
Sar-e-bazar chalongi kaisey
Ao Zainub(a.s.) ko sikha do chalna (haye Abbas utho)
x3
(Bai-rida shaam
chali hou(n) bhaiya haye Abbas utho) x2
2. Aik rasi mai bundhay bara galay
Aur khati hai Sakina(a.s.) durray
Her situm per wo ye kehti hai chacha (haye Abbas utho)
x3
(Bai-rida shaam
chali hou(n) bhaiya haye Abbas utho) x2
3. Apney balo sai keya hai perda
Hum ko aghyar ne jis dum lota
Ho gaya dasht mai ye shor bapa (haye Abbas utho) x3
(Bai-rida shaam
chali hou(n) bhaiya haye Abbas utho) x2
4. Akhri waqt meray baba ney
Teray hatho(n) mai meray haath diye
Yaad ker kay wohi ek lamha zara (haye Abbas utho) x3
(Bai-rida shaam
chali hou(n) bhaiya haye Abbas utho) x2
5. Tum meri aas ho Abbas(a.s.) ho tum
Jo na bujh paye gi wo pyas ho tum
Aye meri maa ki namazoo ki dua (haye Abbas utho) x3
(Bai-rida shaam
chali hou(n) bhaiya haye Abbas utho) x2
6. Kaisi aiee hai qayamat ki ghar(t)i
Sham-e-gurbat sai hou(n) pehray pe khar(t)i
Phir sai ek bar badel do pehra (haye Abbas utho) x3
(Bai-rida shaam
chali hou(n) bhaiya haye Abbas utho) x2
7. Chaiee Abid(a.s.) pe zaiefi bhai
Raas ayee na aseeri bhai
Mer na jaye kahei Sajad(a.s.) mera (haye Abbas utho)
x3
(Bai-rida shaam
chali hou(n) bhaiya haye Abbas utho) x2
8.
Jab "Ali" thuk gaye Zainab(a.s.)
kai qadam
Aisa lagta tha "Takalum" uss dum
Boli Abbas(a.s.) ki maa aie beta (haye Abbas utho) x3
(Bai-rida shaam chali
hou(n) bhaiya haye Abbas utho) x2