Tuti jo mere dil pe audio file

Tuti jo mere dil pe

 

Koi batay ke ye kis ka bain hai akhir

Siskiya pas-e-mimber se jo ubherti hain

Mera aqida hai bichta hai jab bhi farsh-e-aza

Batol(s.a.) akay ye majlis mai bain kerti hain

 

(Tuti jo meray dil pe qayamat bayan ker) x2

 

Zakir meray Hussain(a.s.) ki

 

Zakir meray Hussain(a.s.) ki ghurbat bayan ker

 

(Tuti jo meray dil pe qayamat bayan ker) x2

 

1.    Rota tha mera laal mazar-e- Rasol(s.a.w) per

 

Zainab(a.s.) kay bain naqsh hain qalb-e-Batool(s.a.) per

 

Sughra(a.s.) nay kis tarha kiya rukhsat bayan ker

 

          (Tuti jo meray dil pe qayamat bayan ker) x2

 

2.    Kis tarha khai senay pe Akber(a.s.) nay wo sinaa

 

Katyal jawan kaisay ragertaa tha aityaan

 

Kaisay miti Nabi(s.a.w.) ki shabahutt  bayan ker

 

          (Tuti jo meray dil pe qayamat bayan ker) x2

 

3.    Ruun mai chidie thi garden-e-bay sheer  kis tarha

 

Turbat bana rahi thi wo shamsheer kis tarha

 

Aur kis tarha sai ujri wo turbat bayan ker

 

          (Tuti jo meray dil pe qayamat bayan ker) x2

 

   

4.    Wo dasht wo khayam sai uthta hua dhuwaa

 

Wo chadarey wo jhola wo bister wo natawa

 

Zainub(a.s.) pe jo pari wo musibat bayan ker

 

          (Tuti jo meray dil pe qayamat bayan ker) x2

 

5.    Muhtaj thie rida ko wo perday ki wirsa darr

 

Wo ser jo girta jata tha naizay say baar baar

 

Meray dilair sher ki gairut bayan ker

 

          (Tuti jo meray dil pe qayamat bayan ker) x2

 

6.    Wo hathkari wo bairi wo Shabeer(a.s.) ka pisar

 

Utth utth kai baith jata tha langar sanbhaal ker

 

Sajjad(a.s.) natawa ki naqahat bayan ker

 

          (Tuti jo meray dil pe qayamat bayan ker) x2

 

7.    Kis tarha qaid-e-gham mai yatima hui shaheed

 

Haa kitnay zulm seh kay Sakina(a.s.) hui shaheed

 

Uss nay utthai kitni aziyat bayan ker

 

          (Tuti jo meray dil pe qayamat bayan ker) x2

 

8.    “Nayyar” “Ali” ko Zainub(a.s.)-e-dilgeer ki qasam

 

Mimbar pe baithna hai tu Shabeer(a.s.) ki qasam

 

Jis sai Batool(a.s.) khoosh hou wo seerut bayan ker

 

          (Tuti jo meray dil pe qayamat bayan ker) x2