Haay jab madine sey chala kafla karbobala. Tha ye sughra ke labo par nawha
- Apne hamraah suwe karbobala
(Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x2
- Apki yaad me roro ke mei marjawungi. Baba akbar ki kasam chain nahi pawungi. Meri saso ka bharosa na raha
(Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x2
- Kaflay walo ko pani bhi pilawungi mai. Apni aghosh me asghar ko sulawungi mai. Baba ye apse wadaa hei mera
(Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x2
- Mere kano me jo awaaz azaan ayengi. Mere akbar ki muje yaad bohot ayengi. Bhayi ki yaad na ban jaye qazaa.
(Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x2
- Kaise akbar ke bina eid guzarungi mai. Kabhi tumko kabhi amu ko pukaryngi mai. Jab koi paas na honga baba
(Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x2
- Hupur garm hawa hongi safar me dekho. Apne aachal me chupalungi ali asghar ko. Yu na asghar ko karo mujse judaa
(Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x2
- Khwab akbar ki urusi ke bohot dekhe the. Khaak hojayenge ay baba sab armaan mere. Dil yahi soch ke rota hai mera
(Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x2
- Chacha abbas aur sakina phuphi zainab se. Akhri baar mila do muje baba sabse. Phir ye bimar nahi dengi sadaa
(Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x2
- Bhayya abid ko dawaa roz pilawungi mai. Unki raho me nigaaho ko bichawungi mei. Tum kanizo ki tarha behr khudaa
(Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x2
- Acha mehmil me muje tumna bithaana baba. Tum muje raah me peydal hi chalaana baba. Na karungi me shikayat na gilaa.
(Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x2
- Maine manaa ke nahi kaam mera manzar mei. Baba itna to batado ke akele ghar mei. Zindaa rehpayengi sughra tanha
(Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x2
- Apne ham rahe suwe karbobala