Lo amman mera akhri salam audio file
Lo amman mera akhri salam
(Lo amman mera akhri salam) x7
main jaraha houn kujh ko bulati hey karbala
sajjad bhi rahey ga shareek-e-safar mera
Lo amman mera akhri salam
(Lo amman mera akhri salam) x3
jati hey merey saath main namoos-e-mustafa
dena dua saron pay salamat rahey rida
Lo amman mera akhri salam
(Lo amman mera akhri salam) x3
is gham sey rorahi hey madiney ki har gali
har ghar terey hussain kay gham main hey matmi
Lo amman mera akhri salam
(Lo amman mera akhri salam) x3
nana ka din hey narghey main aur ghar main main rahoon
behta hey dasht-e-khooni main beh jaey mera khoon
Lo amman mera akhri salam
(Lo amman mera akhri salam) x3
is bekasi main pyaase rahen gey haram bhi saath
ta hashr ham pay girya karey gi yeh kainaat
Lo amman mera akhri salam
(Lo amman mera akhri salam) x3
lasha bhi hoga dasht main be gor be kafan
pamal hoga karb-o-bala main mera badan
Lo amman mera akhri salam
(Lo amman mera akhri salam) x3
kehta houn apni rooh ko jesey ke alwida
karkey salam aakhri tujh say hay alwida
Lo amman mera akhri salam
(Lo amman mera akhri salam) x3