Maa Meri Piyari Maa audio file
Maa Meri Piyari Maa
(Maa Meri Piyari Maa Paas Bulalay Maa) x2
Piyas Bujhanay Taigh-e-Sitam Ki Tera Lahoo Maqtal Jata Hai
Hota Hoon Ghar Say Rawaan Paas Bulalay Maa
(Maa Meri Piyari Maa Paas Bulalay Maa) x2
Janay Kab Khanjar Chal Jaey Khoon Mein Apnay Kab Ho Nahana
Ghum Say Kamar Hai KaMaa Paas Bulalay Maa
(Maa Meri Piyari Maa Paas Bulalay Maa) x2
Mein Nay Deen Par Waar Dia Hai Jhoolay Mein Sotay Bachon Ko
Hogaya Waqt-e-Azaan Paas Bulalay Maa
(Maa Meri Piyari Maa Paas Bulalay Maa) x2
Qatl Kiya Eik Aik Jari(a.s.) Ko Meray Khoon Ki Piyasi Hai Yeh
Jaaon Ab Mein Kahaan Paas Bulalay Maa
(Maa Meri Piyari Maa Paas Bulalay Maa) x2
Sabr Khuda Day Meri Behan(s.a.) Ko Amman Dua Do Sakht Gharhi Hai
Rooti Hain Sab Bibiaan(s.a.) Paas Bulalay Maa
(Maa Meri Piyari Maa Paas Bulalay Maa) x2
God Mein Sooun Teri Jaisay Jhoolay Mein Bachay Sotay Hain
Chahiey Mujh Ko AMaa Paas Bulalay Maa
(Maa Meri Piyari Maa Paas Bulalay Maa) x2
Dasht-e-Bala Mein Tanha Hoga Lal(a.s.) Yeh Tera Khoon Mein Naha Kay
Ab Tum Ho Saebaan Paas Bulalay Maa
(Maa Meri Piyari Maa Paas Bulalay Maa) x2
Noor Gaya Meri Aankhon Ka Milta Nahin Hai Mujh Ko Rasta
Mar Gaya Karhial Jawaan Paas Bulalay Maa
(Maa Meri Piyari Maa Paas Bulalay Maa) x2
Kaisay Sahogi Daikh Kay Amman Apnay Pisar(a.s.) Kay Halq Peh Khanjar
Yeh Hai Mera Imterhaan Paas Bulalay Maa
(Maa Meri Piyari Maa Paas Bulalay Maa) x2
Dil Mein Nahin Hai Taqat Meray Uthta Nahin Hai Sadma Amman
Khushk Hai Meri Zubaan Paas Bulalay Maa
(Maa Meri Piyari Maa Paas Bulalay Maa) x2
Amman Us Ka Saath Tu Dena Khutbay Sunaey Shaam Mein Jab Woh
Deen Ki Hai Nigraan Paas Bulalay Maa
(Maa Meri Piyari Maa Paas Bulalay Maa) x2
Kis Kay Seenay Par Soegi Amman Meri Piyari Baiti(s.a.)
Us Peh Karo Aihsaan Paas Bulalay Maa
(Maa Meri Piyari Maa Paas Bulalay Maa) x2
Kis Ki Laash Ko Tanha Chorhoon Kaandhay Peh Kis Ki Laash Uthaon
Aik Akeli Jaan Paas Bulalay Maa
(Maa Meri Piyari Maa Paas Bulalay Maa) x2