BaBa(a.s.) Kay Liey Qaid Mein Roti Thi Sakina(s.a.)
Yeh Kon Hai Kia Naam Hai Hakim Nay Yeh Poocha
Darbaan Nay Hakim Ko Yeh Tab Jakay Bataya
Eik Bachi Hai Rassi Say Gala Dukhta Hai Jiska
Main Is Juda Karta Hoon Jab Bhai(a.s.) Say Is(s.a.) Kay
Yeh Khauf Zada Hokay Yehi Karti Hai Naalay
(Juda Naa Karo Mujhay Bhai(a.s.) Say Andhera Bohat Yeh Zindan Hai)x2
(Juda Naa Karo Mujhay Bhai(a.s.) Say Andhera Bohat Yeh Zindan Hai)x2
(Juda Naa Karo Mujhay Bhai(a.s.) Say Andhera Bohat Yeh Zindan Hai)x2
Yeh Tanhaiyan Yeh Tarikiyan Meri Umr Say Barhi Sakhtiyan
Main Zakhmi Badan Main Tashna Dahan Meri Mot Ka Yeh Saamaan Hai
Chalo Ab Rahogay Tum Chain Say Na Jagoo Gay Tum Meray Bain Say Mujhay Hai Khabar Main(s.a.) Roi Agar To Zulm-o-Sitam Ka Toofaan
Nabi(s.a.w.w.) Ka Agar Tu Hai Ummati Yeh Be Hurmati Sar-e-Shaah Ki
Kudara Na Kar Aray Bad Nazar Yeh Sar Deen Hai Yeh Quraan Hai
(Juda Naa Karo Mujhay Bhai(a.s.) Say Andhera Bohat Yeh Zindan Hai) x2
Karay Ga Na Ab Koi Bhi Madad Isi Qaid Main Banaygi Lahad
Mera Perahan Banayga Kafan Keh Maskan Mera Yeh Zindaan Hai
(Juda Naa Karo Mujhay Bhai(a.s.) Say Andhera Bohat Yeh Zindan Hai) x2
Phophi(s.a.) Say Alag Hoon Maan Say Juda Hai Kurta Mera Lahoo Say Bhara
Meri Zindagi Dukhon Say Bhari Yeh Mazloomiat Meri Shaan Hai
(Juda Naa Karo Mujhay Bhai(a.s.) Say Andhera Bohat Yeh Zindan Hai) x2