Amma fizza
(Haay shaam haay haay shaam) x3
(Amma fizza bata de mujko pathar kyu aarahai) x3
Kaysa hai yeh charakhaa
Dil dubey jaa rahai hai
Kya Shaam Aagaya hai
(Amma fizza bata de mujko pathar kyu aarahai) x3
Bazu bandhe huwe hai, Khu(n) ro rahi hai aankhei
Aankho(n) ke khu(n) se raste, khu(n) mei naha rahe hai
Kya Shaam Aagaya Hai
(Amma fizza bata de mujko pathar kyu aarahai) x3
Ik eik zakhm inka, is gham me ro raha hai
Zainab ka naam lekar, adaa bula rahe hai
Kya shaam agaya hai
(Amma fizza bata de mujko pathar kyu aarahai) x3
Aankhein hai bandhe uski, aur khaak par hai girta
Abbas ka yeh sar hai, Teywar bata rahai hai
Kya Shaam Aagaya Hai
(Amma fizza bata de mujko pathar kyu aarahai) x3
Thak jati chalte chalte, chalti agar zamin bhi
Pero(n) ke able bhi, ansu bahaa rahe hai
Kya shaam agayi hai
(Amma fizza bata de mujko pathar kyu aarahai) x3
Aai Qaydiyon Dua do, Yeh din na ham pe aaye
Lekar duayen hamse, dil bhi dukha rahai hai
Kya Shaam Aagaya Hai
(Amma fizza bata de mujko pathar kyu aarahai) x3
Hai haath rassiyo(n) mei, maao(n) ke aise jhakre
Bachhey jo gir rahey hai, wo marte jaarahai hai
Kya Shaam Aagaya Hai
(Amma fizza bata de mujko pathar kyu aarahai) x3
Palko(n) se kar rahi thi, matam jo binte zahra
Sajad nawha khwan hai, nawha suna rahe hai
Kya shaam agaya hai
(Amma fizza bata de mujko pathar kyu aarahai) x3