Sakina ko
Sakina Ko Kyun Chhor Kar Jaa
Rahe Hai x 4
Kahaa Roke Baqir Ne Aabid
Se Baba, Sakina Ko
Kyun Chhor Kar Jaa Rahe
Hai x 2
Hai Baba Yahaan
Par Baraa Sa Andhera, Sakina Ko Kyun Chhor
Kar Jaa Rahe
Hai
Kahaa Roke Baqir Ne Aabid
Se Baba, Sakina Ko
Kyun Chhor Kar Jaa Rahe
Hai,
Kahaa Roke Baqir Ne Aabid
Se Baba ...
1.
Haan Dekha Hai Maine Safar Mai Yeh Manzar, Jahaan
Paani Hota Tha Iss Ko
Mayassar,
Toh Khud Apne Hisse Ka Paani
Hamesha, Giraati Thi Yeh Aap
Ki Beriyon Par,
Mayassar Hai Ab Hamko
Paani Toh Pyaasa, Sakina Ko Kyun Chhor Kar Jaa
Rahe Hai
Kahaa Roke Baqir Ne Aabid
Se Baba, Sakina Ko
Kyun Chhor Kar Jaa Rahe
Hai,
Kahaa Roke Baqir Ne Aabid
Se Baba ...
2.
Jhukaaye Huwe Apna Sar
Rorahi Hai, Rihaai Ki Sunkar
Khabar Rorahi Hai,
Tarapti Hai Daadi Rubab
Aise Baba, Ke Amma Bhi Thaame
Jigar Rorahi Hai,
Bataayenge Kya Ghar Unhone
Ye Puchha, Sakina Ko Kyun Chhor Kar Jaa
Rahe Hai
Kahaa Roke Baqir Ne Aabid
Se Baba, Sakina Ko
Kyun Chhor Kar Jaa Rahe
Hai,
Kahaa Roke Baqir Ne Aabid
Se Baba ...
3.
Mujhe Yaad Hai Khud
Yeh Kehte The Daada, Madina Hai
Iss Ke Sabab
Se Madina,
Ke Meri Nazar Mai Woh Ghar
Ghar Nahi Hai, Nazar Jis
Mai Aaye Na Mujhko Sakina,
Na
Iss Ke Siwa
Phir Basega Madina, Sakina Ko Kyun Chhor Kar Jaa
Rahe Hai
Kahaa Roke Baqir Ne Aabid
Se Baba, Sakina Ko
Kyun Chhor Kar Jaa Rahe
Hai,
Kahaa Roke Baqir Ne Aabid
Se Baba ...
4.
Madina Ho Ya Shaam Karbobala
Ho, Ke Bazaaro Darbaar Ka Marhalaa Ho,
Sadaa Hat Sitam Ham Ne Jhelaa Hai Milkar, Toh
Phir Kyun Na Yeh Mere Dil Ki
Sadaa Ho,
Mujhe Bhi Yahin Chhorna
Ay Baba, Sakina Ko
Kyun Chhor Kar Jaa Rahe
Hai
Kahaa Roke Baqir Ne Aabid
Se Baba, Sakina Ko
Kyun Chhor Kar Jaa Rahe
Hai,
Kahaa Roke Baqir Ne Aabid
Se Baba ...
5.
Mujhe Aaj Yaad Aaraha
Hai Woh Lamha,
Giri Thi Jo Naaqe Se Ik Din Sakina,
Lage Aap Ki Pusht Par Taaziyaane,
Magar Aapne Qaafila Rok-ke Rakhaa,
Rukaale Yuhin Qaafila Aaj
Baba, Sakina Ko
Kyun Chhor Kar Jaa Rahe
Hai
Kahaa Roke Baqir Ne Aabid
Se Baba, Sakina Ko
Kyun Chhor Kar Jaa Rahe
Hai,
Kahaa Roke Baqir Ne Aabid
Se Baba ...
6.
Achaanak Nigaahe Pari Jo Lahad Par, Sawaalaat Phir Lab Pe Aaye
Na Akbar,
Sakina Ki Turbat Ko Sine Lagaaye, Padar Se Yeh Kehne
Lage Roke Baqir,
Samajh Mai Meri Ab Hai
Baba Yeh Aaya, Sakina Ko
Kyun Chhor Kar Jaa Rahe
Hai
Sakina Ko Kyun Chhor Kar Jaa
Rahe Hai x 3