- Zainab ka sar khula hai ridaa kaise urhaawu
(Me shaam-e-ghariban ka kya haal sunaawo) x2
- Darya to hai maujood, magar pyaas kaha hain. Soye huwe maktal mein, sabhi peer or jawaan hai. Kis kis ko kafan du mein, lahad kiski banaawu
(Me shaam-e-ghariban ka kya haal sunaawo) x2
- Sehme huwe bacho ko, jalay khaymo ke andar. Samjaa ti hai ro ro kay, yahi dukhtar-e-haider. Sojawu jo tum log to me pehr pe jaawu
(Me shaam-e-ghariban ka kya haal sunaawo) x2
- Jab zawjaa-e-hur aayi, liye paani ke saaghar. Dil phat gaya kehne lagi, besheer ki madar. Ajaa ali asghar me tuje paani pilaawu
(Me shaam-e-ghariban ka kya haal sunaawo) x2
- Tareek bayabaa hai, lahu rang hai sehra. Khaymo me shahe-deen ke, udaasi ka hai pehra. Ashko ke diye kyu naa andhere me jalaawu
(Me shaam-e-ghariban ka kya haal sunaawo) x2
- Ay sham-e-ghariban tu, gharibo ki madad kar. Laade sar-e-zainab ko, tu dundh ke chaadar. Sar deen-e-muhammad kaa khula hai to chupaawu
(Me shaam-e-ghariban ka kya haal sunaawo) x2
- Roti hai sakina to, tarap jaata hai darya. Har saans pe takraata hai, Abbas ka lasha. Is manzar-e-gham raat ko kistarha bataawu
(Me shaam-e-ghariban ka kya haal sunaawo) x2
- Nadaah Ali aagaye, Zainab ye pukaari. Bebhayi ke baba huwi, beti yeh tumhaari. Dil me jo mere zakhm hai kistarha dikhawu
(Me shaam-e-ghariban ka kya haal sunaawo) x2
- Baba muje gham bhayi ka, jine nahi denga. Sine se lagaa lijiye, mujko mere baba. Batlaayi ye gham aur kahaa sadme uthawu
(Me shaam-e-ghariban ka kya haal sunaawo) x2
- Zainab ka sar khula hai ridaa kaise urhaawu