Amman pyari amma audio file
Amman pyari amma
(Ye shaam ka zindaan) x4
(Amman pyari amma) x6
- (Tanhaai mei marjaae na) x2 teri pyari sakina
(Amman pyari amma) x4
- Mujse puche koi, maqtal mei utarnaa mera, (itna aasaan tha raston se guzarna mera) x2 Jabse Abbas ki aur mei sare uryaan
(Amman pyari amma) x4
- Haq ki raahon mei sare, paak kataane waale, (saath sab chor gaye saath nibhaane waale) x2 mei hun aur shaam ki foujon ka ye tuufaan
(Amman pyari amma) x4
- Subhe ashur ki, ghamghin fiza mei di thi, (who jo akber ne Muhammad ki zuban mei di thi) x2 gunjti hai mere kanon mei who aazan
(Amman pyari amma) x4
- Mout ko dekh ke, asghar ka who hasna amma, (teer ka bhai ki gardan mei utarna amma) x2 mere sine mei abhi tak hai who paikaan
(Amman pyari amma) x4
- Kardiya ashke ghame shaah mei ujaala maine, (kabhi aabid kabhi bachon ko sambhala maine) x2 qaid phir hoke chali shaam ke zindaan
(Amman pyari amma) x4
- Mujko baba ki tarha, paas sulaane waala, (aaj zindaan mei rota huwa kyun chor gaya) x2 ab mere dil mei nahi jine ka armaan
(Amman pyari amma) x4
- Apni marti huwi beti ko bachaane aaye (paas baba mujhe sine pe sulaane aaye) x2 khaak bistar pe kahaani deka inkaar
(Amman pyari amma) x4
- Dil mei jo daagh hai, mesum who dikhaati kisko, (haal is ghar ka mei mehboob sunaati kisko) x2 lut gayi dekhte hi dashte bayabaan
(Amman pyari amma) x4
- (Tanhaai mei marjaae na) x2 teri pyari sakina
(Amman pyari amma) x4