Akhpal watan
(Akber mere bhayya) x6
Akhpal watan tarasha, sughra ki hai sadaa, (Akber mere bhayya) x2
(Akber mere bhayya) x6
(Akber mere bhayya) x6
Ab kisko girke daakh dikhaaegi ye behna
Askhon ke deep roz jalaegi ye behna
Bhule se tujhe bhul na paaegi ye behna
Gardan na aaye damse ye marjaaegi sugraa
Akhpal watan tarasha, sughra ki hai sadaa, (Akber mere bhayya) x2
(Akber mere bhayya) x6
Asghar sakina qaasimo ghazi chale gaye
Sab unke naatawa ko tanhaa chale gaye
Wiraan ghar mei chor ke rota chale gaye
Batlaao mujse koun si aisi huwi khata
Akhpal watan tarasha, sughra ki hai sadaa, (Akber mere bhayya) x2
(Akber mere bhayya) x6
Karbal se mere bhai ko laaegi kab talak
Dukhya ke dilko roz dukhaaegi kab talak
Kabse rulaa rahi hai rulaaegi kab talak
Ye aarzoo thi dekhti bhayya tera sehraa
Akhpal watan tarasha, sughra ki hai sadaa, (Akber mere bhayya) x2
(Akber mere bhayya) x6
Haae ghame hayaat bhi dhoti rahungi mei
Bechain intezaar mei hoti rahungi mei
Bhayya tumhaari yaad mei roti rahungi mei
Miljaawo ek baar ye karti hun iltejaa
Akhpal watan tarasha, sughra ki hai sadaa, (Akber mere bhayya) x2
(Akber mere bhayya) x6
Mei baadshaah butuul ye kalmaa shajar bhi hai
Tujko khabar nahi hai shaamo sahar bhi hai
Roti hai teri yaad mei diwaaron dar bhi hai
Takte hai mere saath ye sab tera raasta
Akhpal watan tarasha, sughra ki hai sadaa, (Akber mere bhayya) x2
(Akber mere bhayya) x6
"Mesum" jo ranjo gham mei giraftaar kya kare
Tar aa rahi hai surat-e-deedaar kya kare
Kehti hai sarko peet ke bimaar kya kare
Ab zindagi ka koi bharosaa nahi raha
Akhpal watan tarasha, sughra ki hai sadaa, (Akber mere bhayya) x2
(Akber mere bhayya) x6