Sar nange rasan basta audio file
Sar nange rasan basta
ye kesa sitam hai ye kesa sitam hai ye kesa sitam hai
(sir nangey rasan basta phirayi gayi Zainab, bazar mein darbar mein layi gayi Zainab) x2
jari tha lahu chalo(n) sey phir paoun barehna
tapti huwi reti pe chalayi gayi Zainab
bazar mein darbar mein layi gayi Zainab
sir nangey rasan basta phirayi gayi Zainab
bazar mein darbar mein layi gayi Zainab
theri jo kahi raah mein thak kar kahi dukhya
duroun sey layeenon ke satayi gayi Zainab
bazar mein darbar mein layi gayi Zainab
sir nangey rasan basta phirayi gayi Zainab
bazar mein darbar mein layi gayi Zainab
neze ki ani pusht pe mari gaye us key
youn laash sey bhai ki uthayi gayi Zainab
bazar mein darbar mein layi gayi Zainab
sir nangey rasan basta phirayi gayi Zainab
bazar mein darbar mein layi gayi Zainab
bazu the rasan basta rida sir pe nahi thi
haye haye youn hi darbar mein layi gayi Zainab
bazar mein darbar mein layi gayi Zainab
sir nangey rasan basta phirayi gayi Zainab
bazar mein darbar mein layi gayi Zainab
Shabbir ki khahar hai ye Abid ki phuphi hai
ye keh key zamaney ko dekhayi gayi Zainab
bazar mein darbar mein layi gayi Zainab
sir nangey rasan basta phirayi gayi Zainab
bazar mein darbar mein layi gayi Zainab
masoom Sakina ko tamache gaye marey
aur shimr key duroun sey satayi gayi Zainab
bazar mein darbar mein layi gayi Zainab
sir nangey rasan basta phirayi gayi Zainab
bazar mein darbar mein layi gayi Zainab
beti hai Payambar ki ye soocha na kisi ney
bazaro(n) mein galiyou(n) mein phirayi gayi Zainab
bazar mein darbar mein layi gayi Zainab
sir nangey rasan basta phirayi gayi Zainab
bazar mein darbar mein layi gayi Zainab
baloun sey chupaaye huwe chehre ko thi apne
is haal sey darbar mein laye gaye Zainab
bazar mein darbar mein layi gayi Zainab
sir nangey rasan basta phirayi gayi Zainab
bazar mein darbar mein layi gayi Zainab
"kauser" mein likhoun haal-e-musibat bhala kesey
har gam mein "mesum" youn satayi gayi Zainab
bazar mein darbar mein layi gayi Zainab
sir nangey rasan basta phirayi gayi Zainab
bazar mein darbar mein layi gayi Zainab