- (Khaime se is shaan se nikla hai who baawafa) x2 duur se lagta tha ye haider karraar hai
(Haider ka ye sher hai fouj ka saalaar hai) x2
- (Shor hai aada mei ye chor do ab alqama) x2 aane waala hu ba hu jaafare tayyar hai
(Haider ka ye sher hai fouj ka saalaar hai) x2
- (Koun hai jo rokle raasta is sher ka) x2 sirf wohi aaye jo sine se bezaar hai
(Haider ka ye sher hai fouj ka saalaar hai) x2
- (Cheenke darya jari mashk ko bharne laga) x2 jo rishe tuufaan hai teeron ki bochaar hai
(Haider ka ye sher hai fouj ka saalaar hai) x2
- (Gherlo jaane na do fouj mei hai ghur bapaa) x2 roklo shabbir ka yehi madadghaar hai
(Haider ka ye sher hai fouj ka saalaar hai) x2
- (Teer se talwaar se hogaye baazu juda) x2 haathon se pakre huwe mashk ko jarraar hai
(Haider ka ye sher hai fouj ka saalaar hai) x2
- (Aagaya hothon pe dam gir gaya sheh ka alam) x2 shaano pe abbas ke chal chuki talwaar hai
(Haider ka ye sher hai fouj ka saalaar hai) x2
- (Di sada abbas ne kijiye aaka madad) x2 aayie behre khuda aakhri deedaar hai
(Haider ka ye sher hai fouj ka saalaar hai) x2
- (Laash pe abbas ke ponche jo shaahe umam) x2 kehte the ab aaj yun zindagi bekaar hai
(Haider ka ye sher hai fouj ka saalaar hai) x2
- (Laash na aayi magar aagaye mashko alam) x2 khaime me nauha kunaan ibrate at-haar hai
(Haider ka ye sher hai fouj ka saalaar hai) x2
- (Dekh ke mashko alam aa gaya zainab ko gash) x2 aur qamar thaame huwe sayyade abraar hai
(Haider ka ye sher hai fouj ka saalaar hai) x2
- (Sayyade sajjad bhi khench ke uthe husaam) x2 zehno ke bimaar ye samje the bimaar hai
(Haider ka ye sher hai fouj ka saalaar hai) x2
- (Mujtaba hai nauha khwaan nauha ko mazhar huwa) x2 uska hai daste karam jisse hame pyaar hai