- Jo irfani jumla huwa hai ada, kar haqeeqat hai ye sayyada ki dua, (isme shaamil hai allah ki bhi raza) x2 sheshiyaane ali taa qayamat rahe
Salamat rahe, salamat rahe, Ya Ali kehne waale salamat rahe, salamat rahe, salamat rahe
- Parcham abbas ka ye utha te rahe, naaraae haidery ye lagaate rahe, (dushmanaane ali ko jalaate rahe) x2 sheshiyaane ali taa qayamat rahe
Salamat rahe, salamat rahe, Ya Ali kehne waale salamat rahe, salamat rahe, salamat rahe
- Saayaae panjatan inke sarpar rahe, ya ilaahi inhe koi bhi gham na de, (har azadar khushiyon se daaman bhare) x2 sheshiyaane ali taa qayamat rahe
Salamat rahe, salamat rahe, Ya Ali kehne waale salamat rahe, salamat rahe, salamat rahe
- Ye sunaate rahe saanaahe karbala, haq mawaddat ka karte rahe ye adaa, (zikre aale abaa ye kare barmala) x2 sheshiyaane ali taa qayamat rahe
Salamat rahe, salamat rahe, Ya Ali kehne waale salamat rahe, salamat rahe, salamat rahe
- Koi zaalim hame ab mitaae kya, ham azadar hai fatema ki dua, (jisne chaaha mitaana who khud mit gaya) x2 sheshiyaane ali taa qayamat rahe
Salamat rahe, salamat rahe, Ya Ali kehne waale salamat rahe, salamat rahe, salamat rahe
- Usse raazi na hoga khuda ka rasool, jisse naaraaz hokar gayi hai butuul, (uske haq mei dua hogi saari fuzuul) x2 sheshiyaane ali taa qayamat rahe

- Jo nabi ke nawaase ka kaate gala, who hame maar de to ta-ajjud hai kya, (darsgaah hai hamaare liye karbala) x2 sheshiyaane ali taa qayamat rahe
Salamat rahe, salamat rahe, Ya Ali kehne waale salamat rahe, salamat rahe, salamat rahe
- Saari dunya ko ab ye bataate chalo, jinke chehro se parde uthaate chalo, (mujrimaane khuda ko dikhaate chale) x2 sheshiyaane ali taa qayamat rahe
Salamat rahe, salamat rahe, Ya Ali kehne waale salamat rahe, salamat rahe, salamat rahe
- Jo musalmaan hai who zulm dhaata nahi, begunaaho ka khun who bahaata nahi, (who namaazi pe goli chalaata nahi) x2 sheshiyaane ali taa qayamat rahe
Salamat rahe, salamat rahe, Ya Ali kehne waale salamat rahe, salamat rahe, salamat rahe
- Usse raazi na hoga khuda ka rasool, jisse naaraaz hokar gayi hai butuul, (uske haq mei dua hogi saari fuzuul) x2 sheshiyaane ali taa qayamat rahe
Salamat rahe, salamat rahe, Ya Ali kehne waale salamat rahe, salamat rahe, salamat rahe
- Ham ali waalon ki hai dua ai khuda, gunj har simt ab mujtaba ki sada, (aur ahsan likhe roz nauha naya) x2 sheshiyaane ali taa qayamat rahe