Watan se door
(Watan say door hu mahman-e- karbala hu main) x2
ali ka laal hu dilband-e-musrtafa hu mein

ye kaisi hoti hai (pardaisiyon ki mahmani) x2
main ibn-e-saqeya kosar hu bay kata hu main
(Watan say door hu mahman-e- karbala hu main) x2
kay loorian mujhay (roohul ameen sunatay thay) x2
janab-e-zehra ki aagoosh ka pala hu main
(Watan say door hu mahman-e- karbala hu main) x2
jawab-e-fatima (zehra behan hamari hai) x2
baghoor daikho tu mehmar-e-karbala hu main
(Watan say door hu mahman-e- karbala hu main) x2
Maghar na saath me (bacho ko mei nahi laata) x2
Kiya jo nana se waada nibhaa raha hu mei
(Watan say door hu mahman-e- karbala hu main) x2
hai is ada pe (tumhari falak ko hairani) x2
charag-e- kalma-e-toheed ki bakha hu main
(Watan say door hu mahman-e- karbala hu main) x2
maira pisar hai (tumharay rasool ki tasveer) x2
yahi zaban hai nabi ki jo bolta hu main
(Watan say door hu mahman-e- karbala hu main) x2
Dikha ke teyz mujhe (maut se daraate ho) x2
Hai ik khilona ajal jisse khailta hu mei
(Watan say door hu mahman-e- karbala hu main) x2
Har eik haal mei (raazi khuda se rehta hu) x2
Rag-e-batool se likhli huwi dua hu me
(Watan say door hu mahman-e- karbala hu main) x2
madeena choor kay (main jab say karbala aaya) x2
furaq-e-qabr-e-nabi main tarap raha hu main