Zehra ki dua hai
(Fatema Zehra) x4
(Zehra ki dua hai zinda raho sarwar kay azadaron) x3
(Zehra ki dua hai zinda raho sarwar kay azadaron) x2
tum mairi doa ki qeemat ho
seenon main liye shabbir ka gham
kartay huway ghazi ka matam
tum shad raho abad raho sarwar kay azadaro
(Zehra ki dua hai zinda raho sarwar kay azadaron) x2
tum daitay ho gohar ashkon ko
roomal maira tum say hai bhara
gham koi na day tum ko mola
tum mairay qalb ki thandak ho sarwar kay azadaro
(Zehra ki dua hai zinda raho sarwar kay azadaron) x2
is tarhan say pursa dete ho
jaisay koi dukhya maan roay
jaisay koi apni jan khoay
meri chadar kay saaye main raho sarwar kay azadaro
(Zehra ki dua hai zinda raho sarwar kay azadaron) x2
aashor kay din bhoka piyasa
tum hotay agar ay ahl-e-aza
huq-e-nusrat ka tum kartay ada
pani tu pilatay bachoo ko sarwar kay azadaro
(Zehra ki dua hai zinda raho sarwar kay azadaron) x2
abbas kay bazoo kat ke ghira
jab neeza laga tha akbar kay
jab tir laga tha asghar kay
kya hal huwa mera soocho sarwar kay azadaro
(Zehra ki dua hai zinda raho sarwar kay azadaron) x2
ashko se mu ko dhote ho
Dete ho lahu se tum pursa
Zanjeer ka matam karke bapa
Tum aag ke upar chalte ho sarwar ke azadaro
(Zehra ki dua hai zinda raho sarwar kay azadaron) x2
Jannat mei kabhi na jaawungi
Tum maatmi mere laal ke ho
Bakshish ki zara na fikr karo
Bas farsh-e-aza bichwaate raho sarwar ke azadaro
(Zehra ki dua hai zinda raho sarwar kay azadaron) x2
tableeg-e-aza hoti hi rahe
aankhon say barastay hon aanson
bas ik sada aaye har su
tum ajr-e-risalat daitay raho sarwar kay azadaro
(Zehra ki dua hai zinda raho sarwar kay azadaron) x2
(Zehra ki dua hai zinda raho sarwar kay azadaron) x2