Azaan Do
Hoti hay subha
azaan do (x2)
Kehti thi
madaar ay Ali Akber, hoti hay subha azaan do(x2),
1. Janti hu mein mujko khabar
hai, tere labho par meri nazar hay, kuch hi palon ka
aur safar hay, maa bhi teri
majboor magar hay, laal mere hum
shakal-e-payambar,
hoti
hay subha azaan do,
Kehti thi maadar ay Ali
Akber, hoti hay subha azaan do(x2)
2. Sar ko jukaye khaime ke
dar par, baba khare hay aap
ke akber, aur udhar khaime
ke andar bethi hay ghamghi zainab-e-muztar, karlo tayamum
ay mere dilbar
hoti
hay subha azaan do,
Kehti thi maadar ay mere
Akber, hoti hay subha azaan do (x2)
3. Ek taraf Abbase dilaawar, karte hay saikal tegh ke upar, ghashme
pare hay abide muztar, jhoole mein choop
hay nanha sa asghar, toot na
jaye zapt ka saagar
hoti
hay subha azaan do
Kehti thi maadar ay mere
Akber, hoti hay subha azaan do (x2)
4. Dekh idhaar masoom sakina, aankh mein aansoon,
haath mein kuzaa, jiske labhon
par pyaas ka dariya, aayi hay kehne tumse yeh
beta, jaane tammanaa jaane khaahar
hoti
hay subha azaan do,
Kehti thi maadar ay mere
Akber, hoti hay subha azaan do (x2)
5. Haal boora hay pyaas ke maare,
phir bhi hasi hay labh pe tumhare, Aajare aaja raj dulaare,
budhi maa ki ankh ke
taare, waqt bohot hay kam mere
Akber
hoti
hay subha azaan do,
Kehti thi maadar ay mere
Akber, hoti hay subha azaan do (x2)
6. Shaam se pehle khushk gale par, teghe chalega shimr
ka khanjar, aur tumhari dukhiya
maadar, bayn kareghi laash ke
upar, phir na kahoonghi mein tumhe akber
hoti
hay subha azaan do,
Kehti thi maadar ay mere
Akber, hoti hay subha azaan do (x2)
7. Kaise likhe Gulshan woh manzar,
murtaza aaya azaan jo dene,
nikla zabaan se allah ho akber,
kholdiye saidaniyo ne sar, farsh
pe kehkar girgayi maadar
hoti hay subha
azaan do,
Kehti thi maadar ay mere
Akber, hoti hay subha azaan do (x2)