Hussein Zindabaad
Hussein zindabaad (x4)
(Mere nabi ke nawaase
Hussein zindabaad, Ali ke raaj dulare Hussein zindabaad) x2
1. Tuje batooll ne paala hay deene haq ke liye,
tu tapti dhoop me saaya hay deene haq ke
liye, mazaar nana ka chhora hay deene haq ke liye,
Hassan ki aankh ke taare Hussein Zindabaad
Hussein zindabaad (x3)
2. Tuje kabila-e-ismat salaam kehta hay, tuje Khuda-e-fazilat
salaam kehta hay, tuje payambar-e-azmat salaam kehta hay, wafaa ki godh ke
pale Hussein zindabaad
Hussein zindabaad (x3)
3. Khuda ke din ki
azmat ka taajdaar hay tu, Rasool-e-paak
ki ummat ka taajdaar hay tu, shahaadato ki kayaadat
ka taajdaar hay tu, Nabi ki beti
ke pyaare Hussein Zindabaad
Hussein zindabaad (x3)
4. Jo sorahe
the unhe bhi jagaadiya tune, Quraan neze pe parkar
sunaadiya tune, Rasool jeet gaye hay bataa diya tune, ibaadato ke sahare Hussein zindabaad,
Hussein zindabaad
(x3)
5. Liye hay maut se bhi tune kaam kya
kehna, yeh tera khoon me dooba
payaam kya kehna, tera nizaam
hay haq ka nizaam kya kehna, Ali ki god ke pale Hussein Zindabaad
Hussein zindabaad (x3)
6. Woh tera laadla
beta, shabi-e-paghambar, pukaarta hay zamaanaa jise Ali akbar, uthaaya uska bhi
lasha zaif kaandho par, ay surmaawa ki aale Hussein zindabaad,
Hussein zindabaad (x3)
7. Kattaa ke haath
tere bhai ne furaat ke paas,
udaa diye hay sitamgar ke karbala me hawaas, bhujaayi deene Mohamed ki, tez dhoop
me pyaas, woh teen roz ke pyaase
Hussein zindabaad.
Hussein zindabaad (x3)
8. Ay kaayenaat
ke maalik-e asmaa ke mukim,
mere Khuda mere khaliq mere
rahim-o-karim, zabaa pe the yehi
jumle tere shahide azim, shariato
ke shahaare Hussein zindabaad,
Hussein zindabaad (x3)
9. Shaur-o fikr ka Gulshan sawaarne waale, ay Murtaza ka muqqadar nikhaarne waale, Musibaton me Ali ko pukaarne waale,
tuje Rasool pukare Hussein zindabaad,
Hussein zindabaad (x3)