Ya
rasool-e-khuda ya habib-e-khuda audio file
Ya rasool-e-khuda ya habib-e-khuda
Sabz gumbat pe aakar jo goya
huwa, us kabootar ne
shayad yeh di ho sadaa
Ya rasool-e-khuda ya
habib-e-khuda
Ya rasool-e-khuda ya
habib-e-khuda, kutilal husain-o-be kerbala (x2)
1. Shab
thi aashoor ki, aur shabir
the, sab sahabi the, bhai the, dilgir the, saath aun-o-mohamed
the, beshir the, bibiyo ko bharosa tha
abbas ka,
Ya rasool-e-khuda ya
habib-e-khuda, kutilal husain-o-be kerbala (x2)
2.
Subhe ashoor akber ne dee
jo azaan, kitna royi kahoon
kistara betiyaan, us ghari meri
patra gayi pootriyaan, naam sabki zabaano
pe tha aap ka
Ya rasool-e-khuda ya
habib-e-khuda, kutilal husain-o-be kerbala (x2)
3.
Ek qayamat ka manzar
mein dekha kiya, tashna lab
qatl hote rahe bekhata, asr ke
waqt sarwar ka sar katgaya,
aap ka kerbala
mein bhara ghar loota
Ya rasool-e-khuda ya
habib-e-khuda, kutilal husain-o-be kerbala (x2)
4.
Shehe ke zaanu pe hoor
ko shahadat mili, uske bête ko
bhi shehe ki ulfat mili, john ko saath
mein sabke jannat mili, ek beemar mardo mein
baaqi baccha
Ya rasool-e-khuda ya
habib-e-khuda, kutilal husain-o-be kerbala (x2)
5.
Maine dekha
hay akber ke barchi lagi,
laash kassim ki paamaal hoti
rahi, samne mere asghar ke
gardhan chhidi aur mein
be zabaan dekhta hi raha
Ya rasool-e-khuda ya
habib-e-khuda, kutilal husain-o-be kerbala (x2)
6.
jab khizaa
ke hawale chaman hogaye, shaha mohtaaje
ghooslon kafan hogaye, sab haram
kaide ranjon mahan hogaye, laasha
usdam tadapta tha abbas ka
Ya rasool-e-khuda ya
habib-e-khuda, kutilal husain-o-be kerbala (x2)
7.
haale zainab karoon aapse
kya bayaa, sarse chaadar chini,
bandh gayi resma, qatl dono huwe laadle naujawan, haye zainab ne
lekin naa uftak kiya,
Ya rasool-e-khuda ya
habib-e-khuda, kutilal husain-o-be kerbala (x2)
8.
Shaam aayi toh khaime
jalaaye gaye, ghash se bimaar abid uthaye
gaye, pusht par taaziaane lagaye gaye, us ghari tharthaaraaye the arzo samaa
Ya rasool-e-khuda ya
habib-e-khuda, kutilal husain-o-be kerbala (x2)
9.
Paye abid
mein daali gayi beriyaan, nanhi bacchi ki
chini gayi baaliyan, jab ke qaidi banaayi gayi
bibiyan, aasmaano se aane lagi thi
sadaa
Yeh
falak se aati thi sadaa kutilal
husain-o-be kerbala
Yeh
falak se aati thi sadaa zubihal
Husain-0-be-kerbala
Ya rasool-e-khuda ya
habib-e-khuda, kutilal husain-o-bekerbala (x2)
10.
Jab chalahoon
mein kerbobala se idhar, sheh ki
gardhan se niklatha jo khakh par, karliye
maine baazoo usi khoo mein
tar, arz maine sabhi waaqiya
kardiya
Ya rasool-e-khuda ya
habib-e-khuda, kutilal husain-o-be kerbala (x2)
11.
Daasta jo kabutar ne
Gulshan kahi, Murtaza aapne woh
sabhi kab parhi, kehte kehte
suna hay kabutar tabhi, udgaya jaanibe
roza-e Fatema