Shaheedo Ka Chelum
Shaheedo ka chelum manaayegi Zainab, Re hayi jo zindaan se paayegi Zainab
Shaheedo ka chehlum manaayegi Zainab, Rehayi jo zindaan se paayegi Zainab
Tadap jaayega ran mein laasha-e-Sarwar,
Nishaan pusht par jab dikhaayegi Zainab
Re hayi jo zindaan se paayegi Zainab
Shaheedo ka chehlum manaayegi Zainab, Rehayi jo zindaan se paayegi Zainab
Salaam aakhri woh tumhe keh gayi hay,
Yeh Ghaazi se jaa kar batayegi Zainab
Re hayi jo zindaan se paayegi Zainab
Shaheedo ka chehlum manaayegi Zainab, Rehayi jo zindaan se paayegi Zainab
To roengi aankhein phategaa kaleja,
Sukoon jeete ji ab naa paayegi Zainab
Re hayi jo zindaan se paayegi Zainab
Shaheedo ka chehlum manaayegi Zainab, Rehayi jo zindaan se paayegi Zainab
Kabhi kehke ba ranjo ghum wah shahidaa,
Tere ghum mein aansoo bahaayegi Zainab
Re hayi jo zindaan se paayegi Zainab
Shaheedo ka chehlum manaayegi Zainab, Rehayi jo zindaan se paayegi Zainab
Madine mein beemaar Sughra ko jaa kar,
Nishaane rasan bhi dikhaayegi Zainab
Re hayi jo zindaan se paayegi Zainab
Shaheedo ka chehlum manaayegi Zainab, Rehayi jo zindaan se paayegi Zainab
Masaayab sunakar tere sabko bhaai,
Ek aahon kaa toofaan uthaayegi Zainab
Re hayi jo zindaan se paayegi Zainab
Shaheedo ka chehlum manaayegi Zainab, Rehayi jo zindaan se paayegi Zainab
Musibat use karbal ki sunakar,
Bohat royegi aur rulaayegi Zainab
Re hayi jo zindaan se paayegi Zainab
Shaheedo ka chehlum manaayegi Zainab, Rehayi jo zindaan se paayegi Zainab
Soowe shaam karbal se jab hum chale the,
Yeh Naana se jakar bataayegi Zainab
Re hayi jo zindaan se paayegi Zainab
Shaheedo ka chehlum manaayegi Zainab, Rehayi jo zindaan se paayegi Zainab
Kaleem itna kehkar bohot royee khwahar,
Sukoon ab to marker hi paayegi Zainab