Dua Karo
Udaas Chehra-e-shabir par padi jo nazar,
Tadap ke kehne lagi madar-e-Aliakbar
(Dua karo mera noor-e-nazar palat aaye) x2

Usi ne Yusuf-o-Yaqoob ko milaya hay
Woh mere dil ki murade, qoobul farmaye
(Dua karo mera noor-e-nazar palat aaye) x4
Sukoon baap ka aur maa ki jaan hota hay
Pisar ka daag kisi ko Khuda na dikhlaye
(Dua karo mera noor-e-nazar palat aaye) x4
Hare k dil ki tammana hay usse waabasta
Woh hasaraton ka chaman hay, kabhi na murjaaye
(Dua karo mera noor-e-nazar palat aaye) x4
Hazaar jaan se qurbaan, ho ye mann uspar
Who khairat se rahe mujhko maut aajaaye
(Dua karo mera noor-e-nazar palat aaye) x4
Dikhayi deti nahi koi, zindagi ki aas
Humare ghar kaa ujaala, khatam na hojaaye
(Dua karo mera noor-e-nazar palat aaye) x4
Woh darmiyan ne sitamgar, qatl gaah mein hay
Bataao kaise yeh maa, apne dil ko samjhaaye
(Dua karo mera noor-e-nazar palat aaye) x4
Ye kaisa dasht hay koi sabeel-e-aab nahi
Woh tashna lab hay na uspar koi sitam dhaaye
(Dua karo mera noor-e-nazar palat aaye) x4
Pisar ke haq me huimustajaab maa ki dua
Jo keh rahi thi mussale pe baal bikhraaye
(Dua karo mera noor-e-nazar palat aaye) x4
Shaheed ho gaye maqtal mein barchiyaan khaaker
Na "Murtaza" kabhi maan ne sukhan yeh dohraaye