Maqtal Ko Najaao
Jis dam gaye Abbas husoore shahe wala,
Maqtal ki raza mangi to sarwar ne pukara
Abbas hamein chhor ke maqtal ko najaao
Tum bhi na rohoge to, wafaa kaun karega
Tum to mere maa baap ka armaan ho bhayaa
Aur zainabo kulsum ki tum shaan ho bhayaa
Abbas hamein chhor ke maqtal ko najaao
Tum bhi na rohoge to, wafaa kaun karega
Islam ke lashkar ke alamdaar tumhi ho
Mazloom ke bekas ke madadgaar tumhi ho
Abbas hamein chhor ke maqtal ko najaao
Tum Bhi na rohoge to, wafaa kaun karega
Taarikh mein dekha nahin tumsa koi bhaai
Dushwaar hay ek bhaai se bhaai ki judaai
Abbas hamein chhor ke maqtal ko najaao
Tum bhi na rohoge to, wafaa kaun karega
Qurbaan sabhi ho gaye meidan mein jaakar
Tanhaa kahi reh jaayena ab sibte payambar
Abbas hamein chhor ke maqtal ko najaao
Tum bhi na rohoge to, wafaa kaun karega
Hay kaun madadgaar yahaan hadde nazar tak
Tum qaafela saalaar ho anjame safar tak
Abbas hamein chhor ke maqtal ko najaao
Tum bhi na rohoge to, wafaa kaun karega
Aur iske siwa kya hay bhatije ka qareena
Har waqte musibat mein pukaregi sakina
Abbas hamein chhor ke maqtal ko najaao
Tum bhi na rohoge to, wafaa kaun karega
Zainab ko kisi ne bhi khule sar nahi dekha
Ek din isse bazaar mein le jaayenge aada
Abbas hamein chhor ke maqtal ko najaao
Tum bhi na rohoge to, wafaa kaun karega
Bechaargiye sayyade Sajjad bhi hogi
Honto pe har ek zulm ki faryaad bhi hogi
Abbas hamein chhor ke maqtal ko najaao
Tum bhi na rohoge to, wafaa kaun karega
Ab "Murtaza" kaise yeh sukhan laaye zabaan par
Baa deedaaye nam bas yehi kehte rahe sarwar
Abbas hamein chhor ke maqtal ko najaao
Tum bhi na rohoge to, wafaa kaun karega