Zainab faryaadi hai maula audio file
Zainab faryaadi hai maula
Khatm hua shabbir ka lashkar
Zainab faryaadi he maula
Aankhein nam aur dil he muztar
Zainab faryaadi he maula
Saani-e-zehra binte ali he
Uska sare aqdas be chadar
Zainab faryaadi he maula
Haye who bachpan haye yateemi
Kohe alam toota he dil par
Zainab faryaadi he maula
Chod ke abh jaana he watan ko
Qabre mohammed par ro ro kar
Zainab faryaadi he maula
Ek maa aur uski barbaadi
Asghar he aur khaakh ka bistar
Zainab faryaadi he maula
Ronake duniya ghar ke ujale
Haye who kaise kaise dilawar
Zainab faryaadi he maula
Kya he qayamat bhi to nahein he
Sheh ka gala aur shimr ka khanjar
Zainab faryaadi he maula
Khaima-e-sheh me aag lagi he
Khaime me he abid-e-muztar
Zainab faryaadi he maula
Ghoot ghoot kar roti he sakina
Bhool gayi kya hota he ghar
Zainab faryaadi he maula
Kash ke usko chain aajaye
Khauf zada he sham ka manzar
Zainab faryaadi he maula