Zainab Ali Akbar k jeenay
ki dua mango
1: Zainab ali akbar k jeenay ki dua mango
Kaha
umm-e-laila ne basudd Ilteja mango
2: maan ne raat
bhar apnay laal ki balaaen lin
beth kar
musallay par jeenay ki duaen kin
mujh se pehlay ae beta mat apni qaza mango
Zainab ali
akbar k jeenay ki dua mango
3: ae laal abhi tum ko
main doolah banaongi
phoolon
ka haseen sehra matahy pe sajaongi
baba se na tum jaldi
marnay ki raza mango
Zainab ali
akbar k jeenay ki dua mango
4: ghoray se gira
joon hi chaand umm-e-laila ka
bibiyon
k halkay main maan ne ye kiya noha
bach jae mera bacha
milkar ye dua mango
Zainab ali
akbar k jeenay ki dua mango
5: akbar ki sada sun kar khaimay se chalay sarwar
kehtay thay nazar kuch
bhi ata nahi ae dilbar
main tum
tak pohanch jaon bus itni dua
mango
Zainab ali
akbar k jeenay ki dua mango
6: zainab ne kaha
bhaya main madad ko ajaon
saat
main teray milkar laash-e-jawan uth
waon
kaha sheh ne ae behna
rub se hosla mango
Zainab ali
akbar k jeenay ki dua mango
7: maatmi hay dunya
main jo bhi ali akbar ka
sajtay
hue maan daikhay uss k matahy par sehra
ye dua
bhi ahel-e-aza sub behr-e-khuda mango
Zainab ali
akbar k jeenay ki dua mango
8: ae sohail akbar ka jub
kabhi pharo noha
akbar k waseelay se haat uthao pesh-e-khuda
lehja-e-jawan mango ghum-e-karbala mango
Zainab ali
akbar k jeenay ki dua mango