Abbas Kahan Ho Ajao
1: Zainab ne kaha
ye ro ro kar
bazaar main hon
main nangay sir
abbas kahan ho ajao
2: main bekus hon
dukh paai hon
main sarwar
ki maan jaai hon
marjaongi
ghum se ghut ghut kar
abbas kahan ho ajao
3: tum roothay
akbar qatal
hue
sub mooniso
yawar qatal hue
be chaadar
phirti hon dar dar
abbas kahan ho ajao
4: ye kesi musibat
aae hay
har simt faqat tanhai
hay
lillaha sahara do aakar
abbas kahan ho ajao
5: faryad hay ibn-e-shah-e-najaf
bazaar sajay
hain charon taraf
ankhain
hain guhar phat ta hay jigar
abbas kahan ho ajao
6: jana hay sar-e-darbar-e-jafa
abbas mujhe ati hay haya
maangu
main bhala kis se chadar
abbas kahan ho ajao
7: qasim bhi nahi
akbar bhi nahi
hud ye
hay ali asghar bhi nahi
faryaad karon kis se jakar
abbas kahan ho ajao
8: zindaan main kabhi
darbaron main
hay al-e-nabi
bazaron main
emdaad karo ibn-e-haider
abbas kahan ho ajao
9: sub ahel-e-aza
hain girya kunaan
hay aaj musayyab noha kunaan
kehta
hay bilaal-e-khasta jigar
abbas kahan ho ajao