Ae Meray Raza (a.s) Mola
1: Shaheed-e-jor-o-jafa ae meray
raza mola
Aseer-e-runj-o-bala ae
meray raza mola
2: ujara kis
ne nabi k chaman ko mash-hud
main
mila hay
zehr ghareeb ul watan ko
mash-hud main
hue behan
se juda ae meray raza mola
3: diya wo zehr badan
hogaya tha zard tamam
salaam aap
ki ghurbat pe ae ghareeb
imam
har aik zulm saha
ae meray raza mola
4: hay ghum zada
wo behan
jis ki qum main hay turbat
ghareeb bhai ki uthi thi
dhoom se mayyat
chali wo ghum ki hawa
ae meray raza mola
5: khuda k arsh
pe our momino k seenay main
diyaar-e-qum main khurasaan
main madinay main
bicha
hay farsh-e-aza ae meray raza
mola
6: tumharay yom-e-shahadat pe arsh
hay pur num
tumharay
ghum main tumhari judai main maatum
hay sher-e-qum main bapa ae
meray raza mola
7: uthaya zainab-o-kulsoom ne jo
baad-e-hussain
ussi tarhan se ye masooma qum main thin bechain
wo ghum behan ko
mila ae meray
raza mola
8: musayyab our zafar
aaj bhi azaanon main
zameen
se arsh se mash-hud k qaid khanon se
ye arahi
hay sada ae meray raza mola