Ali Asghar (a.s) Nahi Aae
1: Sitam hay jul
gaya jhula ali asghar nahi aae
lahoo rota hay dil maan ka ali asghar nahi aae
2: kahan par reh
gaya wo haae
nannah laal bano ka
ye uss
ka dard ye soz-e-jigar ye haal bano
ka
karay kesay na wo
girya ali asghar nahi aae
3: sakina poochti
thi our tar pati thi maadar ko
bhala maqtal main kis k paas chor aae
hain asghar ko
palat
kar agae baba ali asghar nahi aae
4: na janay kia hua
paltay nahi maqtal main phir ja k
gae thay tashnagi apni
bujhanay saat baba k
bata kiun sahil-e-darya
ali asghar nahi aae
5: abhi adat nahi uss
ko kisi k paas sonay ki
mujhe awaz ati hay musalsul
uss k ronay ki
laga rehta hay ye dhar ka ali asghar nahi aae
6: watan main jafri
ujra hua jub karwan pohncha
musayyab
uss ghari asghar ki maan ko ye khyal aya
kaheen na pooch le sughra ali asghar nahi aae