Ali Ki Beti
Ka Sir Khula Hay, Haya Se Suraj Bhi Chup Gaya Hay
Ali ki beti ka sir khula hay,
haya se suraj bhi chup gaya hay
Ridaaen ansoo baha
rahi hain ghilaaf kabay ka roraha hay
1: ajeeb bazaar ka hay manzar
baras te hain har taraf
se phattar
sadaen
hain baghiyon ko maro
bata khuda kiya ye majra
hay
Ali ki beti ka sir khula hay, haya se suraj bhi chup gaya hay
2: sikhaya dunya
ko jis parda
wo khud hay balway main sir bahrehna
hay qaidi
koofay ki shahzadi
rasool ko ajrr
ye mila hay
Ali ki beti ka sir khula hay, haya se suraj bhi chup gaya hay
3: khuda ra pehchano kalma goyo
na sadqa kar k khajoor phenko
haraam sadqa hay inn pe logo
k ye to oulad-e-mustafa hay
Ali ki beti ka sir khula hay, haya se suraj bhi chup gaya hay
4: tamasha inn ka na yon banao
haya karo
kuch nazar jhukao
wo jis
ka phartay ho roz kalma
ussi ki oulad par jafa hay
Ali ki beti ka sir khula hay, haya se suraj bhi chup gaya hay
5: ye saarban hay jo
qaidiun ka
hadaf
hay ab jo yazidiyon ka
jo pusht
pe durray kha raha hay
ye hi to beta hussain
ka hay
Ali ki beti ka sir khula hay, haya se suraj bhi chup gaya hay
6: rasan hay ek our galay hain bara
sitam ye kesa
hay ya khuda ya
hain jis rasan main galay baron k
ussi
main bachi ka bhi gala hay
Ali ki beti ka sir khula hay, haya se suraj bhi chup gaya hay
7: jhuka hay yon bhi dilair ka sir
nazar na par jae bibiyon
par
gawara abbas ko nahi hay
sinaan
se khud ko gira raha hay
Ali ki beti ka sir khula hay, haya se suraj bhi chup gaya hay
8: masaaeb-e-bint-e-syeda ko
sitam zareefi
ki intiha ko
sohail tehreer kartay kartay
qalam
bhi ansoo baha raha hay
Ali ki beti ka sir khula hay, haya se suraj bhi chup gaya hay