Dhaya Hay Kalma Goyo Ne Roza Batool
(s.a) Ka
1: Dhaya hay kalma
goyo ne roza batool ka
Marqad
main sogwaar hay baba batool ka
2: masmaar roza
kardia ye janntay hue
kiya tha rasool-e-pak se rishta batool ka
Dhaya hay kalma
goy one roza batool ka
3: noha kuna
hay pehnay hue kaala perahun
masroof-e-ghum hay aaj
bhi kaaba batool ka
Dhaya hay kalma
goy one roza batool ka
4: taa hashrr
ahel-e-dard ko ansoo rulaega
darbar-e-ghasibeen main jana batool ka
Dhaya hay kalma
goy one roza batool ka
5: khud apna tukra keh k bataya
rasool ne
phir bhi
samaj saka na tu rutba
rasool ka
Dhaya hay kalma
goy one roza batool ka
6: girya kuna
ali hue hasnain noha gar
jis waqt
nikla ghar se janazah batool ka
Dhaya hay kalma
goy one roza batool ka
7: haaton se kalma
goyon k baad-e-rasool bhi
barbaad hokay reh gaya kunba batool ka
Dhaya hay kalma
goy one roza batool ka
8: sajday gawah
our azaanain gawah hain
islam ko
bacha gaya beta batool ka
Dhaya hay kalma
goy one roza batool ka
9: aab-o-namak
ki shakal main aathon pehar sohail
bunt ta
hay kaaenaat main sadqa batool ka
Dhaya hay
kalma goy one roza batool ka