Khuda ya bacha mera teen din ka piyasa hay
Ye qatal
gah main zehra k lab pe noha hay
Khuda ya bacha
mera teen din ka piyasa hay
Peshwai
ayan jo dasvin moharram ka aftaab hua
lahoo lahoo nazar ati
thi karbala ki fiza
bapa thi khaimay main seydanion ki aho buka
macha hua tha har
ek simt shor-e-wavela
jo apnay laal
ko rooh-e-batool ne daikha
to baal khol
k karnay lagi ye hi noha
Ye qatal
gah main zehra k lab pe noha hay
Khuda ya bacha
mera teen din ka piyasa hay
1: sitam raseeda hon
our ghum ki main sataai hon
main khuld
chor k piyasay se milnay aae hon
bala k dasht main bacha mera akela hay
Khuda ya
bacha mera teen din ka piyasa hay
2: ye mera laadla
mujh ko bohat
hi piyara hay
sakoon-e-qalb hay ankhon
ka meri tara hay
qaraar behnon ka hay baap ka chaheeta hay
Khuda ya
bacha mera teen din ka piyasa hay
3: rasool dosh pe
issko bithaya kartay thay
farishtay
jhoolay ko iss k jhulaya kartay thay
baray hi
nazon se main ne to iss ko pala hay
Khuda ya
bacha mera teen din ka piyasa hay
4: khata hi kiya
hay bhala iss ki ye to batlao
na chund paani k qatron
se iss ko tarsao
hay jurm
kia jo issay zalimon ne ghera hay
Khuda ya
bacha mera teen din ka piyasa hay
5: mayaan-e-dasht
akela hay mera noor-e-nazar
masaaeb itnay uthae hain jhuk gae hay kamar
utha utha k ye medaan se lashay laya hay
Khuda ya
bacha mera teen din ka piyasa hay
6: ae kalma goyo jafa karahe
ho kiun iss par
khuda k wastay maro na
iss ko teer-o-tabar
tumharay
piyaray Muhammad ka ye nawasa
hay
Khuda ya
bacha mera teen din ka piyasa hay
7: faras pe
hay na zameen
par hay mera lakht-e-jigar
laeen iss ki taraf bharta
hay liye khanjar
lahoo lahaan hay teeron pe mehway sajda
hay
Khuda ya
bacha mera teen din ka piyasa hay
8: zamany bhar
main to dushwar hay ye hi ae
shaqi
k janwar
ko bhi pehlay pilatay hain paani
gala hay khushk
churi jis pe tu chalata hay
Khuda ya
bacha mera teen din ka piyasa hay
9: sohail our musayyab
wo ghum
zada maadar
pisar pe chaltay hue daikhti rahi khanjar
ye bain karti rahi imtihaan
ye kesa hay
Khuda ya
bacha mera teen din ka piyasa hay