Ya Hussain (a.s)ya mola
Chaar janib aada
hain unn k darmian tanha
Waqt-e-assr maqtal
main har shaheed kehta tha
Ya hussain ya
mola ya hussain
ya mola
1: al atash k nohay thay
our qareeb tha darya
door tak na
thay badal dhoop ka basera tha
mashk le k sahil
par ek sipahi aya tha
bhai ho k bhi aqa
shah ko wo kehta tha
martay dum
bhi honton se uss k bus ye
hi nikla
Ya hussain ya
mola ya hussain
ya mola
2: dasht main inn ankhon ne daikha ek ajab manzar
barchi khae
seenay par sorahe thay peghamber
gir k farsh
par jis ko dhoond te rahe sarwar
poochta koi
kis ko dhoond te ho ae safdar
tum ye kehtay
thay mola noor ankhon ka khoya
Ya hussain ya
mola ya hussain
ya mola
3: dil to hol jata tha
rooh kaanp jati thi
sar zameen-e-maqtal par aik laash bikhri thi
iss tarhan
se aada ne uss ki laash rondi thi
jis ko daikh kar qudrat khud bhi khoon bahati thi
jo tumharay bhai
ki aik hi nishani tha
Ya hussain ya
mola ya hussain
ya mola
4: aik qabar hay run
main jis ki khaak k nechay
nannhi zindagi
soe teer-e-halq par khae
jis pe muskurahat
ne bhi kiye bohat naalay
qabar main chupaya
tha uss ko iss liye sheh
ne
halq pehlay
zakhmi hay sir na kaat le aada
Ya hussain ya
mola ya hussain
ya mola
5: sar zameen-e-karbal main kho gae hain wo heeray
sub k sub jo nasir thay run main shah-e-wala k
shah-e-deen k khaimay
main unn k thay ye hi nohay
kaat laingay
hum apnay halq apni taighon se
par watan na
lotaingay chor kar tumhe tanha
Ya hussain ya
mola ya hussain
ya mola
6: baad-e-sheh k aengi
deen ko mushkilain
jub jub
Fatima
ki beti k saat hoga deen-e-rub
Kesay runj jhelnaingi
daikh le gi dunya sub
Our
door jaengi ghar se hazrat-e-zainab
Tay karengay har
rasta sham ho k ho koofa
Ya hussain ya
mola ya hussain
ya mola
7: sham run
main hotay hi teen saal ki bachi
nanneh nanneh
durr pehnay sue dasht jub pohnchi
chin gae wo
durr uss k kaan hogae zakhmi
alkama k saahil
par aik laash kaanp uthi
boli aaeye
ammu aaeye meray baba
Ya hussain ya
mola ya hussain
ya mola
8: aya dasht main ammar ab wo khoon fishaan lamha
zibha hotay
bhai ko daikhti thi ek behna
aandhiyan uthin
utha rait ka ghubaar aesa
nok par sinaan
ki phir aik sir nazar aya
deen naam
leta hay ab bhi uss masiha ka
Ya hussain ya
mola ya hussain
ya mola