Jab lawt ke
Sajjad sar barehna, badardo alam chale
Rote saroko pit te, paabande gham chale
Zainab ne lash-e-sheh se, kahaa bhai ham chale
Marne se aapke mai, izaa ye uthaati hu,
Darbar me Yazid ke, sar nange jaati hu
Kyun kar tumhaari laashko, dafnaengi bahan
Kaahe ko chut ke qaidse, ab aengi bahan
Kistarha aah aapko, ab paegi bahan
Naachar qaid zulm me, wo khastatan chali,
Lo bhai shehre Shaam ki, jaanib bahan chali
Is teri bekasi ko, bahan ko, bahan hoogayi nisaar
Hai hai ye ret gharm me, Gulshan badan figaar
Ye halq nazneen teraa, ay tege asdaar
Gardan kataake bhaayi, bayabaan me sogaye,
Ghafeel bahan se aan, ke jangal me sogaye
Hai hai mere musafire, karbobala Hussain
Hai hai tujhe na paanika katra mila Hussain
Hai hai tamaama tan tere, tukre huwa Hussain
Pyaase galepe khanjare, bedaad chalgaya
Hai hai tarap tarapke tera dam nikal gaya