Karbala waalo
Karbalaa Waalon Pe Ye Kaisa Muharram Aayaa
Khun Tapaktaa Huwaa Abbas Kaa Parcham Aayaa
Pusht Mein Hazrat-e-Shabbir Ki Bhi Kham Aayaa
Saath Kunbe Ko Liye Waarise Aadam Aaya
Ab Labon Par Mere Beshir Kaa Hai Dam Aaya
Bas Hameshaa Ke Liye Mausame Maatam Aayaa
Karbalaa Waalon Pe Ye Kaisa Muharram Aayaa
Khun Tapaktaa Huwaa Abbas Kaa Parcham Aayaa