(Allah) x3
(Allah hi Allah) x4
Tu hi tu Allah
Allah tu hi tu Allah
Tu hi tu Allah
Jo mohammad ka wafadar he Allah uska,
karbala uski, najaf uska,
madina uska,
zindagi he to bas Ali ki tarha, maut
aye to ya hussain hussain
(Ya hussain) x6
(Ya Ali ya hussain) x4
1.
(Awaaze
Muhammad ka asar khatm na hoga) x2
Thak jaayega suraj ye safar khatm na hoga
(Ya Ali ya Hussain )
x3
2.
La raib
pe rasool ki donon he zebo
zen
Pehlu mein ya Ali he to (godi me ya Hussain) x2
Loho qalam ka ilm ka sadiq he ya Ali
Jab tak khuda ka mulk he (malik he ya Hussain) x2
Ye ilm ka dar sabr ka ghar khatm
na hoga
(Thak jaayega suraj ye safar
khatm na hoga) x2
3.
Ye saltanate
ishq hai khuddar milenge
Salmano abuzar se (wafaadar milenge) x2
Qasim yahan mesum se jigar taar milenge
Jeene ke liye marne pe
(tayyar milenge) x2
Kat jaye zaban ishq magar khatm
na hoga
(Thak jaayega suraj ye safar
khatm na hoga) x2
4.
Muslim bine
Aqeel safeere hussain he
Hubbe ali he dil mein (masheere
hussain he) x2
Who baadshah aur ye wazeere hussain he
Aisa wazeer he ke (faqeere hussain
he) x2
Ta hashr sifarat ka safar khatm na
hoga
Thak jaayega suraj ye safar
khatm na hoga
(Ya ali
ya hussain) x3
5.
Hur ko sakhi hussain
ne aali bana
diya
Aisa ke panjatan
ka (sawaali bana diya) x2
Nade ali ne isko jalali
bana diya
Rumale fatema ne (missali bana
diya) x2
Ye dar he ataaon ka ye dar khatm na
hoga
(Thak jaayega suraj ye safar
khatm na hoga) x2
6.
Ay mere rabbe
jahaan
Ay Muhammad ke khuda
Ye tera ishk hi tha
Jiski parwaaz juda
(Ye tera ishk hi tha) x2
Panjetan se jo mila
Ishq ka tere safar
Ishq haidar me mila
Kabhi mesum kabhi miqdad o abuzar me mila
Kabhi salman ke dil mein
kabhi qambar me mila
Aur maqtal me jo dekha to bahattar
me mila
(Laike ishq he tu, tera jalwa
har su) x2
7.
Ay mere rabbe
jahaan
Ay Mohammad ke khuda
Ishq tune bhi diya
Aur Muhammad tera
Jiski chahat ke liye
Ye jahaan khalq kiya
(Who tera ishq hi tha) x3
(Ay mere rabbe
jahaan) x2
Ik ajab ishq
huwa
Who sare karbobala
Tera ashiq hai khara
Khun mein duba huwa
De chuka lakhte jigar
De chukka noore nazar
De chukka sara woh ghar
Aur khanjar ke tale
Us ka sajde mein he sar
Na namaazi aisi Na ashiq ka kaleja aisa
Noke neza pe bhi karta
hi raha zikr tera
(ya ali ya hussain)
x3
8.
Ek zulfiqaar khalq me do haath se chali
Daste hussain o panjae mushkil kusha ali
Ye Mustafa ki jaan woh Allah ka wali
Donon ka martaba bhi do alam pe
he jail
Donon ka is kamaal se sajda ada huwa
Haider se ibteda huwi ya khatima
huwa
(ya ali ya hussain)
x3
9.
Hai waqte asr marziye
parwardigaar he
Ab pushte zuljana pe maula
sawaar he
Pehlu mein khun roti huwi
zulfiqaar he
Hum rah zuljanah bhi bohot dil figaar
he
Qurban zuljanah pe aur zulfiqar
par
Chalte the donon marziye parwardigar par
(ya ali ya hussain)
x3
10.
Jaisi who zulfiqaar thi waisa
tha zuljanah
Bachpan se saath saath hi rehta tha zuljanah
be misl o be nazir tha aala tha
zuljanah
kyunkar na ho rasool ne pala
tha zuljanah
Pehla sawaar to nabiye kirdigaar he
Aur doosra ye doshe nabi ka sawaar
he
(ya ali ya hussain)
x3
11.
jite thi jab bhi sheyr
chitwa(n) hiran ki aankh
chalta tha dekh dekh
ke shahe zaman ki aankh
parti thi yun harif
pe us sab shikan ki aankh
larzi ho jese halq me shamshir
zan ki aankh
Teghaayi jispe
urh kabhi baar urhte chalgaya
Wo sar gira gayi
to ye lasha uchalgaya
(ya ali ya hussain)
x2
12.
Kehta tha zulfiqaar se ab meri jang
dekh
Chal tere saath saath zara
mera rang dekh
Is kaas mei
laraayi ka mera bhi dhang dekh
Raah-e-hayaat fitro(n) pe
karta hu(n) tang dekh
Mana tu zulfiqaar hai marhab
shikaar hai
Leykin ye dekh
kon ye mujhpar sawaar hai
(ya ali ya hussain)
x3
13.
Simta jamaa urha idhar
aya udhar gaya
Chamka phira Jamaal dikhaya tha har gaya
Teero(n) pe urh ke
barchiyo(n) mei bekhatar gaya
Bar haq
kiya sabo(n) ko saro(n)
par guzar gaya
Aya jo zad mei iski ajal
aagayi usse
Is saath
koi zarb zamee(n) kha gayi usse
(ya ali ya hussain)
x3
14.
Allah re laraayi
mei shokat hussain ki
Heete wo zuljanah
mei sur’at hussain ki
Qudrat baghor zad ki
thi surat
Hussain ki
Chehre udaas Sakina hai
haybat Hussain ki
(Bole Ali Hussain) x2 ho ab bhi hawaas mei
Aisi to jang ham na
lare mulk-o-yaas mei
(Hussain ya hussain) x3
15.
Ayi sada-e-ghayb ke bas bas Hussain bas
Dam le hawaa
mei eik
nafas bas Hussain bas
Garmi se haanfta hai faras
bas Hussain bas
Waqt-e-namaaz asr hai
bas bas Hussain bas
(Hussain ya hussain) x3
16.
Ye sunte
the hazrat jo laga pusht pe
dhara
Qarboos pe tharra ke
gire hazrat-e-waala
Jibreel ne qadmo(n) se rikaabat ko nikala
Aur haatho(n)
ko garden mei yadullah ne daala
Dekha jo zuljanah ne
ghash khate zee(n) par
Bas beyth
gaya dekh ke ghutno(n) ko zamee(n)
par
Quran rehl-e-zee(n) se sar-e-farsh gir para
Dewaar-e-kaba beyth gayi arsh
gir para
(Hussain ya hussain) x3
17.
Chillayi fatemah mera bacha
hai be gunaah
Ay arz-e-nainawah
mera bacha hai be gunaah
Ay nehr-e-alqamah
mera bacha hai be gunaah
Ay zulfiqaar
tu hi bachaale hussain ko
Ay zuljanah
tujhse mei
luti hussain ko
(Hussain ya hussain) x3
18.
Duba lahu mei lot ke
aaya hai zuljanaah
Samjhi Sakina baba ko laaya hai zuljanah
Sar khaak per patak kar gira wo
rahwaar
Sayyedaniyo(n) bichar gaya mujhse
mera sawaar
Jaldi utaarlo ye tabarruk ye zulfiqaar
Are kat’ta
hai waa gulu-e-shahenshaah-e-naamdaar
Zahra qareeb-e-laash-e-pisar
khaak urhaati hai
Are khaymo(n) mei jaawo, lutne
ko foj aati
hai
Hussain ya
hussain