(arze karbala arze nainawa)
x2
(arze arze karabala) x3 ay arze nainawa
(Ye maahe muharram he ye ayyame aza he
Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa
he)
1. Is maah mein luti gayi zehra
ki kamayi
Talwar Muhammad ke nawase pe chalayi
is maah mein jibreel se nauha ye suna he
Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa
he
Ye maahe muharram he ye ayyame aza he
Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa
he
2. Is maahe muharram ne qayamat ye dikhayi
Is chaand ne sughra ko khabar
jaake sunayi
Veeran madina he basi karbobala he
Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa
he
Ye maahe muharram he ye ayyame aza he
Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa
he
3. Is maah mein saadaat ne din kaise guzare
Masum ko pani na mila
nehr kanare
Kya zulm Muhammad ke gharane ne
saha he
Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa
he
Ye maahe muharram he ye ayyame aza he
Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa
he
4. Jab chaand muharram
ka nazar aata he humko
Sajda he azaakhana to yaad ataa he humko
Is chaand mein khu(n) aale Muhammad ka baha he
Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa
he
Ye maahe muharram he ye ayyame aza he
Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa
he
5. Aashur ka din bhool
na paayega zamaana
Luta gaya us roz Muhammad ka gharana
Us roz se dunya mein bichhi farshe
aza he
Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa
he
Ye maahe muharram he ye ayyame aza he
Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa
he
6. Kya hosle maaon ke the kya
sher the bachhe
Woh maqsade zehra thi ye haidar
ke iraade
In maaon se bachhon se bani khake shifa
he
Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa
he
Ye maahe muharram he ye ayyame aza he
Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa
he
7. wo auno Muhammad ali akbar ali
asghar
wo qasime naushah woh abas-e-dilawar
maqtal inhi shehzadon ke zakhmon
se saja he
Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa
he
Ye maahe muharram he ye ayyame aza he
Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa
he
8. (Ho “sarwaro rehan shanawar ke ali
jee”) x2
He naukri virse me hussain ibne ali
ki
Awaazo qalam donon isi dar
ki ata he
Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa
he
Ye maahe muharram he ye ayyame aza he
Matam ye muhammad ke nawaase ka bapa
he
(arze arze karabala) x3 ay arze nainawa