Allah jaane kaha
Jab shaam ke zindaan mei huwi, shaam haram ko. Ik aan na rahat ki na araam haram ko. Har baar tapakta tha lahu, ashk rawaan se (Zindaan larazta tha) x2 Sakina ki fugha se
(Allah jaane, kaha ho ay baba) x2
Baba kitni rate guzar gayi baba
Allah jaane, kaha ho ay baba
(Chote se sin mei qaydi zindaan hogayi) x3
(Baba mei kyu na aap pe) x2 qurbaan hogayi
(Allah jaane, kaha ho ay baba) x2
Kisko kahu(n) mei baap mere, baap hai kahaa(n)
Tum bekafan mei besaro samaan hogayi
(Baba mei kyu na aap pe) x2 qurbaan hogayi
(Allah jaane, kaha ho ay baba) x2
Mei bekasi se dekhke muh sabka rehgayi
Kurta phata huwa meri pehchaan hogayi
(Baba mei kyu na aap pe) x2 qurbaan hogayi
(Allah jaane, kaha ho ay baba) x2
Aur chup huwi to be padari ne kaha ke ro
In afato mei girse pareshaan hogayi
(Baba mei kyu na aap pe) x2 qurbaan hogayi
(Allah jaane, kaha ho ay baba) x2
Jo chaahe mujh falak ki sataayi ko phir sataaye
Shehzaadi-e-Hussain ki ye shaan hogayi
(Baba mei kyu na aap pe) x2 qurbaan hogayi
(Allah jaane, kaha ho ay baba) x2
Aaye padar to jaaye Sakina bhi apne ghar
Kyu aise zalimo(n) ki mei mehman hogayi
(Baba mei kyu na aap pe) x2 qurbaan hogayi
(Allah jaane, kaha ho ay baba) x2
Jisne hazaro qayd se churwaaye diyey aseer
Ummat nabi ki dekhke anjaan hogayi
(Baba mei kyu na aap pe) x2 qurbaan hogayi
(Allah jaane, kaha ho ay baba) x2
Chillaayi roke haye gazab mar gaye padar
Baba ke sar ko dekhke hayraan hogayi
(Baba mei kyu na aap pe) x2 qurbaan hogayi
(Allah jaane, kaha ho ay baba) x2
Sadma huwa nikaalne lagi tan se jaan-e-waar
Nanhi si jaan jaan se bejaan hogayi
(Baba mei kyu na aap pe) x2 qurbaan hogayi
(Allah jaane, kaha ho ay baba) x2
Sadiyo(n) talak rulaayenga sabko ye marsiya
Bali Sakina qarb ka unhwaan hogayi
(Baba mei kyu na aap pe) x2 qurbaan hogayi
(Allah jaane, kaha ho ay baba) x2
Baba kitni rate guzar gayi baba
Allah jaane, kaha ho ay baba