|
Khanjar qareeb (Jab mera Hussain, Fatema ka cheyn) x2 Pushte raahwaar se khaak pe ghira (Ya hussain) x3 Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai (Ya hussain) x2 (Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai) x2
Aashiq ka apne reyg-e-tapaa(n) par qaraar dekh Mera yakeen dekh mera etebaar dekh Mei kitna mutmain hu(n) idhar eik baar dekh Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai Ya rab gawaah rahiyo ke mei bekasur hu(n) Che maah ho gaye mei watan se bhi door hu(n) Ab teri baargaah mei tere huzoor hu(n) Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai Athara saal ke Ali Akbar ka daagh hai Bazu burida sher ka Asghar ka daag hai Lagna abhi luti huwi chadar ka daagh hai Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai Dekh ke sarhaane khari hai madar-e-muztar Shehzadi ke sar par hai pari khaak ki chadar Kehti wo sar god mei Shabbir ka lekar Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai Paani dam-e-marg pilata nahi koi Zakhmo(n) pe lagi khaak churaata nahi koi Haay haay mere bache ko bachata nahi koi Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai Maa(n) hu(n) mera dil dard se tharrata hai saheb Ye dekhiye duniya se pisar jaata hai saheb Khanjar ko liye shimr chala aata hai saheb Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai (Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai) x2 Kuch deyr mei ab kooch hai duniya se hamara Ay amma chali jaaye maqtal se khudara Kis tarah se dekhogi tarapta huwa laasha Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai (Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai) x2 Dekha ke dar-e-khaymaa(n) pe roti hai Sakina Ek hook uthi qalb mei rone lage maula Zainab se ishaaro(n) se kaha ay meri behna Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai (Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai) x2 Ab imtehaan tera mukammal yaha huwa Khun-e-pisar se tu hai wuzu ab to kar chuka Ye sun ke sheh ne sajde mei sar rakh ke ye kaha Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai (Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai) x2 Dekha ke la'ee(n) pher chuka halq pe khanjar Aur shimr liye jata hai sar gesoo pakar kar Ay "Sarwar-o-Rehan" karo yaad wo manzar Khanjar qareeb, zanu-e-qatil qareeb hai, Aaj imtehaan sabr-e-husain-e-ghareeb hai As'salaamu alayka ya tharallahi wabna thaari Wal witral mawtoor, ash'hadu annaka qad aqamtas-salaat Wa ataytaz-zakaat, wa amarta bil ma'aroofi wa nahayta annil munkar Wa ata'tallahu wa rasoolahu, hatta ataaqal yakeen As'salaamu alayka ayyuhash-shaheed As'salaamu alayka ayyuhal-mazloom, wabnul-mazloom |
|