Salaam ya Hussain
(Salaam Salaam Salaam Ya Hussain) x6
Yaa Khdaa Yaa khudaa surkh hai asmaan chikh ti hai fizaa
Salaam Salaam ya hussain ghayb se aa rahi hai musalsal sada
lo aftab-e-shahadat tuloob ho gaya
(Salaam Ya Hussain) x3
(Hussain Yaa Hussain) x3
(Salaam Ya Hussain Salaam Ya Hussain) x2
Marhaba mohtaram Ya Hussain Ya Hussain
(Salaam ya Hussain Salaam Ya Hussain) x2
Khuda ye Paak ki nazar se teri nazar hai Ya hussain
ye dil bhi teraa Dil nahi khuda ka ghar hai ya hussain
Wahaa(n) Wahaa(n) azan hai jidher jidher hai ya hussain
Sina ki nok par azaa(n) tera jigar hai ya hussain
(Sina ki nok per buland) x3 zindagi ko ker diya Azim kaam ker diya
(Salaam Ya Hussain Salaam Ya Hussain) x2
Hussain woh jo mushkilo se dee(n) ko nikaal le
khudaa agar talab kare Hussain apne shaal de
Hussain jo talab kare woh rab-e-zuljalaal de
Ya Hussain Ya Hussain
Hussain woh sakhi hai jo gala besawaal de Ya Hussain Ya Hussain
(Kamaal yeh hai khud khudaa) x3 kahe kamaal bhar diya ajeeb kaam ker diyaa
(Salaam Ya Hussain Salaam Ya Hussain) x2
kadam kadam hussain hai nishaa(n) nishaa(n) hussain hai
dilo me Ahlebayt ke rawaa dawaa Hussain hai
Zamanaa puchta hai ye kahaa(n) kahaa(n) hussain hai
Ya hussain ya hussain
jahaa(n) jahaa(n) rasool hai wahaa(n) wahaa(n) hussain hai Ya Hussain
(Kudaa ne is shaheed ko) x3 ajeeb ye samar diyaa azeem ye kaam ker diyaa
(Salaam Ya Hussain Salaam Ya Hussain) x2
(Hussain ya Hussain) x3
bichar gayaa hai kafele se ye ameer-e- kafelaa
ghiraa hai foj-e-shaam me akelaa ibne sayeeda
hai door khaimaa gaah se ye fatema ka ladlaa
Ya Hussain, ya Hussain
Sukoon apnaa de chukaa karaar apnaa de chukaa, ya Hussain
(Hussain ne khudaayi ko) x3 bhi be karaar ker diyaa azeem kaam ker diyaa
(Salaam Ya Hussain Salaam Ya Hussain) x2
(Hussain ya Hussain) x3
udhur gharib-e-alqamaa tarap ke rehgayaa jari
behen ko hosh na raha sakina khakh per giri
(Hussain Ya Hussain) x3
Sanaye gunj ne lagi Hussain Ya Hussain ki
Ya Hussain ya Hussain
ye khud ne apnaa sar diya khudayi cheekh ne lagi, ya Hussain
(sina se sar ke khun ne) x5 salaam-e-akhri kiyaa, Azeem kaam ker diyaa
(Salaam Ya Hussain Salaam Ya Hussain) x2
(Hussain ya Hussain) x2
salaam ho salaam ho zamin aur asmaan ka
salaam ibne sayaada "sarwar-o-rehan" kaa
har eik rang falak likha her zabaan kaa
ya hussain ya hussain
Kalaam shah-e-karbala khuda-e-mehrebaan kaa, ya Hussain
(Khuda ka zikr do jahaa(n)) x2 me tune aam ker diyaa Ajeeb kaam ker diya
(Hussain ya Hussain) x3