Muje ley chalo audio file
Muje ley chalo
Daaman pakar ke kehti hai, baba kab aawoge
Le jaawoge hame ke, yahin chor jaawoge
Bimaar ki khabar bhi, kisi se mangaa woge
Ya pyaar mei sakina ke, ham ko bhulaawoge
Bachpan bhi tab bhi aur ye ghazab ki judaai bhi
Maa baap bhi bicharte hai, behne bhi bhaai bhi
(Mujhe le chalo baba) x4
- Jaane lage Shabbir to kehne lagi Sughra
(Mujhe le chalo baba) x4
- Bimaar pe tanhaayi ka khanjar na chaalawo, kyu(n) nazre churaate ho tumhe jaana hai jaawo, ik baat meri maan lo ache mere baba
(Mujhe le chalo baba) x4
- Jaati hai kanize bhi kanizo(n) hi mei rakhlo, kab maine kahaa hai mujhe naaqe pe bithaao, paidal hi safar hoga mera karbobala ka
(Mujhe le chalo baba) x4
- Waada hai ke zehmat na safar mei koi dungi, mei baalon se saya aliasgher ka karungi, rehne nahi dungi mei tumhe raah mei pyasa
(Mujhe le chalo baba) x4
- Mei paani pilaaungi tere naaqe ko baba, mei pusht pe rakhungi sada mashke sakina, beshak kare aaraam safar mei teri fizza
(Mujhe le chalo baba) x4
- Akber ki ziyarat mei kiye jawungi har dam, didar hai akber ka mere zakhmo ka marham, marnese bachalo mujhe choro nahi tanha
(Mujhe le chalo baba) x4
- Akber jo chale jaaenge mei kaise jiyungi, furqat ki aziyat ko bhala kaise sahungi, marjaaegi marjaaegi marjaaegi sughra
(Mujhe le chalo baba) x4
- Samjaane lage beti ko yun hazrate shabbir, Sughrah mei maqtal mei liye jati hai taqdeer, ye kehke sadaen na do phat ta hai kaleja
(Mujhe le chalo baba) x4
- Bimaar ho gharmi ki aziyat na sahungi, tum raahe musibat se safar kaise karungi, hojaae shifa khair se tab khat mujhe likhna
(Mujhe le chalo baba) x4
- Nani ki hifazat mei diye jaata hu tumko, amma ki lahad dekh ke socha karo humko, ab zid na karo jaawo ye kehna na khudaara
(Mujhe le chalo baba) x4
- Phir suraa-e-yasin ko par ne lage maula, beti ko dua deke pukaare shah-e-waala, marjaaunga ab gham se agar tum ne pukaara
(Mujhe le chalo baba) x4