Wa ghareebaa
(Waa ghareebaa, waa shaheedaan, waa Husein Ibne Ali) x4 waa ghareebaa
1. Dasht mei ghar tera lutaa haae huseina, hussein
Tujhko kafan bhi na milaa haae huseina, hussein
Rondaa gaya laasha tera haae huseinaa, hussein, hussein, hussein
(Waa ghareebaa, waa shaheedaan, waa Husein Ibne Ali) x2 waa ghareebaa
2. Laashe uthate huwe din tune guzaara, hussein
Chingaya maqtal mei har ek tera sahara, hussein
Dekh ke ghurbat teri khaaliq ne pukaaraa, hussein hussein hussein
(Waa ghareebaa, waa shaheedaan, waa Husein Ibne Ali) x2 waa ghareebaa
3. Kabr se talwaar-e-sitam kaat di tune, hussein
Dee(n) ki binaa tashnalabi khaa rakhi tune, hussein
Mout ko bhi kardiya yun zindagi tune, hussein hussein hussein
(Waa ghareebaa, waa shaheedaan, waa Husein Ibne Ali) x2 waa ghareebaa
4. Maara gaya bhaai tera baahe(n) kataa kar, hussein
Khaake sinaa sine pe soya Ali Akber, hussein
Qatl huwa teere sitamgaar se Asghar, hussein hussein hussein
(Waa ghareebaa, waa shaheedaan, waa Husein Ibne Ali) x2 waa ghareebaa
5. Goro se paamaal huwa dilbare shabbar, hussein
Rehgaye sehre ke sabhi phul bikhar kar, hussein
Tukro ko qaasim ke uthaate rahe Sarwar, hussein hussein hussein
(Waa ghareebaa, waa shaheedaan, waa Husein Ibne Ali) x2 waa ghareebaa
6. Hogayi beyaaro madadgaar Sakina, hussein
Sehti rahi jurro ki boshaar sakina, hussein
Roti rahi laash pe laachaar sakina, hussein hussein hussein
(Waa ghareebaa, waa shaheedaan, waa Husein Ibne Ali) x2 waa ghareebaa
7. Yaade Hussein ibn-e-Ali likh gayi Zainab, hussein
Dasht mei jab Shaam dhali lut gayi zainab, hussein
Qaid huwi shaam chali lut gayi Zainab, hussein hussein hussein
(Waa ghareebaa, waa shaheedaan, waa Husein Ibne Ali) x2 waa ghareebaa
8. Chingayi Saidaaniyon ke sar se ridaaen, hussein
Aati rahi laashon se rone ki sadaaen, hussein
Karti rahi bibiyaan marne ki duaaen, hussein hussein hussein
(Waa ghareebaa, waa shaheedaan, waa Husein Ibne Ali) x2 waa ghareebaa
9. Parta hai "Naasir" shahe Abraar ka nawha, hussein
Baali Sakina ka Alamdaar ka nawha, hussein
Zainab-e-Dilgir ka bimaar ka nawhaa, hussein hussein hussein
(Waa ghareebaa, waa shaheedaan, waa Husein Ibne Ali) x2 waa ghareebaa
10. Nur Ali aaj bhi ye dil mei sadaa hai, hussein
Aaj talak taaza ghame karbobala hai, hussein
Aaj bhi maqtal mei koi mehwe bukaa hai, hussein hussein hussein
(Waa ghareebaa, waa shaheedaan, waa Husein Ibne Ali) x4 waa ghareebaa