Rahe wird-e-zubaa(n) shiya naad-e-Ali
Pare mushkil to kehdo madad Ya Ali
Ali ka naam bhi naame-hirz-e-tawfeeq hai
Ali ka naam bhi naam-e-khuda teygh-e-jawaa(n) hai
Liya naam-e-Ali to bala sab tali
Arsh-e-aazam pe likha hai naam-e-Ali
Pare mushkil to kehdo madad Ya Ali
Rahe wird-e-zubaa(n) shiya naad-e-Ali
Pare mushkil to kehdo madad Ya Ali
Ali ka zikr hai khaliq ki ata'at hai
Ali ka naam se ghamgeen dil ko farhat hai
Karo haq se dua to banaam-e-Ali
Pare mushkil to kehdo madad Ya Ali
Rahe wird-e-zubaa(n) shiya naad-e-Ali
Pare mushkil to kehdo madad Ya Ali
Ilaahi waasta tujhko Ali-e-Murtaza ka
Ilaahi waasta Hasnain ka aur Fatemah ka
Rahe imaa(n) hamara salaamat sada
Momino ko na ho koi ranj-o-bala
Pare mushkil to kehdo madad Ya Ali
Rahe wird-e-zubaa(n) shiya naad-e-Ali
Pare mushkil to kehdo madad Ya Ali
Jo ke hai bimaar momin de unhe jaldi shafa
Qayd aafat me jo hai ya rab unhe karde rihaa
Tere zaat hai paak khafee-o-jali
Ho kabool hamari murad-e-dili
Pare mushkil to kehdo madad Ya Ali
Rahe wird-e-zubaa(n) shiya naad-e-Ali
Pare mushkil to kehdo madad Ya Ali
Mehdi-e-maaud ka howe jahaa(n) mei jald zahoor
Ho Alam Abbas ka jalwa numa rabb-e-ghafoor
Haath pheyla ke ham karte hai ye dua
Ya Ali ho shafi mere roz-e-jazaa
Pare mushkil to kehdo madad Ya Ali
Rahe wird-e-zubaa(n) shiya naad-e-Ali
Pare mushkil to kehdo madad Ya Ali