Dua kar raha hu
(Dua kar raha hu, dua kar raha hu, Mei farsh-e-aza par dua kar raha hu) x4
Ali-o-muhammad hussayn-o-Hassan ka
(Mere rizk mei kheyr-o-barkat ataa kar) x2
Tujhe wasta hai ghareebul watan ka
Wasila hai Zehra dua kar raha hu
(Dua kar raha hu, dua kar raha hu, Mei farsh-e-aza par dua kar raha hu) x2
Jo makrooz hai karz unka ada ho
(Jo bey jurm qaydi hay mo'min hamare) x2
Ab unki rihaayi ka bhi feysala ho
Yahi iltija hai dua kar raha hu
(Dua kar raha hu, dua kar raha hu, Mei farsh-e-aza par dua kar raha hu) x2
Tamanna hai bacho ke sehre ki jinko
(Tujhe wasta Qasim-e-ghulbadan ka) x2
Koi gham na de juz gham-e-shahe hamko
Mei sajde mei ghir kar dua kar raha hu
(Dua kar raha hu, dua kar raha hu, Mei farsh-e-aza par dua kar raha hu) x2
Jo hai ghumshudah jald unki khabar ho
(Tarasti hai awlaad ko jitni maaye) x2
Ataa unki ghodi ko lakht-e-jigar ho
Mei rahib ke jese dua kar raha hu
(Dua kar raha hu, dua kar raha hu, Mei farsh-e-aza par dua kar raha hu) x2
Unhe ghar ataa kar jo ho rashk-e-jannat
(Tujhe wasta jalte khaymo ka ya rab) x2
Mile farsh-e-gham kay liye ghar ki ne'mat
Wasile se sheh ke dua kar raha hu
(Dua kar raha hu, dua kar raha hu, Mei farsh-e-aza par dua kar raha hu) x2
Paye rizk jo nokri kar rahe hai
(Salaamat rahe wo bhi kunba bhi unka) x2
Jo bacho ki furkat mei din kaat te hai
Mei unke liye bhi dua kar raha hu
(Dua kar raha hu, dua kar raha hu, Mei farsh-e-aza par dua kar raha hu) x2
Alam aur taabut mehendhi ye jole
(Amanat hai khwahish hey ye sayyeda ki) x2
Unhe hashr tak tu hifazat mei rakhe
Mei ro ro ke tujh se dua kar raha hu
(Dua kar raha hu, dua kar raha hu, Mei farsh-e-aza par dua kar raha hu) x2
Azadar sab hai dua sayyeda ki
(Mei noho mei Rehan apne kalam se) x2
Jo ruddad likhta hu ik bawafa ki
To ghazi ke dar par dua kar raha hu
(Dua kar raha hu, dua kar raha hu, Mei farsh-e-aza par dua kar raha hu) x2