Zainab ne kaha
(Zainab ne kaha roke, alamdar alamdar) x4
(Zainab ne kaha roke, alamdar alamdar) x2
Sab so chuke maktal mei meri ankh ke taare
Khaymo ki taraf barne laghaa lashkar-e-kuffar
(Zainab ne kaha roke, alamdar alamdar) x2
Pyaasi ho magar sadke teri pyaas pe bhayi
(Aa chadar-e-zainab bhi sadaa deti hai har baar) x2
(Zainab ne kaha roke, alamdar alamdar) x2
Aati hai tere khun ki kushbu jo baraadar
Jina huwa pardes mei Zainab ka bhi doshwaar
(Zainab ne kaha roke, alamdar alamdar) x2
Sar peet ke sab ehle haram karte hai ghari
Tar hogayi ashko se Sakina ke bhi rukhsaar
(Zainab ne kaha roke, alamdar alamdar) x2
Sunte mei tere teer bhi ay bhayi ghire hai
Kis haal mei tu hai mei zaru kistarha dayyar
(Zainab ne kaha roke, alamdar alamdar) x2
Ab aal-e-abaa ka hay khudaa hafiz-o-nasir
Bimar hay is kafela ka kafela salaar
(Zainab ne kaha roke, alamdar alamdar) x2
Is nohey ko majlis mei raza aisi sunaade
Khush hoke dua dene lagi sayyeda abraar
(Zainab ne kaha roke, alamdar alamdar) x2