Aa rahe hai
(Aa rahe hai karbala se, za'irin-e-karbala) x4
(Aa rahe hai karbala se, za'irin-e-karbala) x2
Dil pe guzri kya bataawo to zara tafseel se
(Khayma-e-Zainab ke aage) x2 Kya koi pehre pe tha
(Aa rahe hai karbala se, za'irin-e-karbala) x2
Kya huwi halat tumhaari us jaga ko dekh ke
(Un kute haatho(n) se kitni) x2 Door par thi alqamah
(Aa rahe hai karbala se, za'irin-e-karbala) x2
Kapkapi tareekh huwi hogi tumhare jism par
(Kis tarha kaabu mei aya) x2 Dil bataawo to zara
(Aa rahe hai karbala se, za'irin-e-karbala) x2
Rowe to honge bohot phir bhi kaleja thaam kar
(Phir gaya honga nazar mei) x2 Shaah ka sukha gala
(Aa rahe hai karbala se, za'irin-e-karbala) x2
Kya waha par yaad Sughra mei koi nawha parha
(Kya azaa(n) sunkar waha) x2 Ashko(n) ka darya ruk saka
(Aa rahe hai karbala se, za'irin-e-karbala) x2
Shah-e-dee(n) ke yawar-o-ansaar ke nohey parhe
(Matam-o-girya se gunji) x2 Hongi dasht-e-karbala
(Aa rahe hai karbala se, za'irin-e-karbala) x2
Qatl gaah-e-Hazrat-e-shabbir kitni door thi
(Darmiyaa(n) bhaayi bahan ke) x2 Kitna dekha faasla
(Aa rahe hai karbala se, za'irin-e-karbala) x2
Jinke shaamil Za'ireen-e-karbala mei naam hai
(Ham bhi ponche karbala mei) x2 Dijiye hamko dua
(Aa rahe hai karbala se, za'irin-e-karbala) x2