Allahu akbar
(Allahu Akbar) x4
Ham shakl-e-payambar Akbar
Mehraab azaa(n) mei akar
Hai subh-e-shahadat kehdo
(Allahu akbar) x4
Lo subh-e-shahadat aayi
Peena hai jaam-e-kausar
Mehrab azaa(n) mei jaakar
Hai subh-e-shahadat kehdo (Allahu akbar) x4
Behne ko hei khu(n) ke dhaare
Ay laal misaal-e-haider
Mehraab azaa(n) mei jaakar
Hai subh-e-shahadat kehdo (Allahu akbar) x4
Quran ke jaise paare
Quran ko bana ke rahbar
Mehraab azaa(n) mei jaakar
Hai subh-e-shahadat kehdo (Allahu akbar) x4
Hai hamko tayammum karna
Hai hamko khaak mayassar
Mehraab azaa(n) mei jaakar
Hai subh-e-shahadat kehdo (Allahu akbar) x4
Takbeer tumhari gunje
Khayme mei suni jo madar
Mehraab azaa(n) mei jaakar
Hai subh-e-shahadat kehdo (Allahu akbar) x4
Aisa ho azaa(n) ka lehja
Khush hogi tumhaari khwaahar
Mehraab azaa(n) mei jaakar
Hai subh-e-shahadat kehdo (Allahu akbar) x4
Phir khu(n) se wuzu karna hai
Chamkaye adu ne khanjar
Mehraab azaa(n) mei jaakar
Hai subh-e-shahadat kehdo (Allahu akbar) x4
Khushbu ki tarha jab pheyli
Maqtal ka buka hai manzar
Mehraab azaa(n) mei jaakar
Hai subh-e-shahadat kehdo (Allahu akbar) x4
Ham shakl-e-payambar Akbar
Mehraab azaa(n) mei akar
Hai subh-e-shahadat kehdo
(Allahu akbar) x4